urdu

Bees rakaat taraweeh

Q: Kya taraweeh bees rakat Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) se sabit he ya Hazrat Umar (radhiyallahu anhu) se? Lowg kehte he ke bees rakat taraweeh to Hazrat Umar (radhiyallahu anhu) ke dor se unhone shuru karaai. Aap is ke mutalik kya jawaab he?

Ilm-e-nujoom owr Ilm-e-ghaib

Q: Taqreeban 2 saal pahle meri ek cousin k zariye ek aise shaks se baat hui jo ilm e najoom janta tha, us ne mujhe btaya ke mere father pe kisi ne kaala ilm krwaya hy jo ke un ki jaan lega. ye b btaya k mere mangetar galat kaamo men lage hue hen or un ki nature bht kharb hai matlb k ayaash hai pr ye k use shadi k bad mera nasib kharb hoga or hmri shadi ek saal tk chal sakegi or shadi k bad b mere mangetr larkyon k peeche honge or hmri shadi k foran bad mere father xpire hojaenge. Ye baten sun k mujhe bht dukh hua men tension men aa k mangetr se bat ki or rishta khatm krne ko kaha lekin Allah ko ye manzoor na tha hmri shadi hui or Allahmdulillah ek hogya hy shadi ko sb kuch thek hy aisa kuch nahi hua. Ab itne dino k bad phr se us cousin ne mujhe btaya k wo shaks mujh se bat krna chahta hy or kuch btana chahta hai, men kia kron mujhe kuch samjh nahi aarha. mujhe tension ho rhi hy mera Allah pe pora bharosa hai..

Is masle k bare men kuch btaen Quran o hadith men in logon ki kia ahmyat hai, gaib ka ilm Allah k pas hai phr in ko kahan se pata chalti hn ye baten.. In bat men ktni sachai hy. Men kon sa wazifa kron k hm sb aise shar se or kisi nuqsan se mahfooz rahen. Plz explain kren kia aisa kuch sach men hota hy ilm e najoom ya sitaron ka ilm ya ilm e rsal wagera?