Sharaait

Zabardasti se shaadi karana

Q: Mai 19 years ki hu. Mai jab 15 saal ki thi tab mere parents ne meri engagement mere cousin se jo mujhse 5 saal bada hai usse krdi mujhe ye rishta pasand nhi tha maine apni na pasandidgi zahir ki par mere parents ne mujhe samjha ke ye baat taal di aur ye rishta pakka kar diya maine bhi apne parents ki khatir usse talluk banane ki koshish ki usse bond banane ki koshins ki par mai kabhi use apna nhi payi uske kabhi accept nhi kar payi mujhe hamesha usse chid aur na pasandidgi thi fir meri ek ladke se mulakaat hui aur mujhe usse mohabbat hogyi wo mere class me padhta tha mujhse 1 saal bada tha hamari baat hui aur bht hi kam arse se hamara rishta gehra ho gaya hamari niyat shaadi ki thi aur mai waise bhi apne fiance ko pasand nhi karti thi mai apne ghr walo ke darr se chup rahi ek saal ke andar meri usse shaadi fix hui aur shaadi se 1 hafta pehle maine apne parents se saari hakeekat share ki par unhone uss ladke ko reject kr diya use kaha ki wo mu jhe chod de aur zabardasti mujhe shaadi krne pe majboor kiya ye keh ke ki unki izzat khatam ho jayegi aur wo marr jayenge mai raazi ho gyi maine zabardasti ye nikaah kiya mere dil me koi razamandi nhi thi na maine use apna shohar maana tha mai end time tak bhi inkaar karti rahi lekin kisi ne meri nhi suni uske baad meri zindagi nhi chal saki maine apne shohar ko saari hakeekat bata di use apne paas nhi ane diya kyuki mujhe usse nafrat thi aur kisi aur se mohabbat lekin wo mujhe chodne raazi nhi hai Aaj 2 mahine hogye mai apne parent's ke ghr pe hu bht zyada jhagde hone ki wajah se hamare darmiyan koi physical relationship nahi hai aur mai aisa nhi kr skti na kar paa rhi hu mai apne husband se talaak lena chahti hu lekin mera shohar inkaar kar rha hai mere maa baap mujhe zabardasti wapas bhejna chahte hai kehte hai mai nafarman hu aur mujhe baddua dena chahte hai mai jisse mohabbat krti hu wo mujhe apnane tayar hai mujhe ni kah krna chahta hai aur mai bhi mere maa baap iske khilaaf hai to kya ye jayiz hai kya mai sahi hu ya galat

Onine nikaah

Q: Online Nikaah mein agr larka khud apna nikaah parha rha ho aur larke k paas 2 gawah mojood hon aur larki call pe larke ko apna wakeel bna le larka apni traf se or dulhan ki traf se qabool kre to kia ye nikaah hojayega? Ya phir wakeel alag se hona lazmi hai?

Baaligh hote hee shaadi kar lena

Q: Islam me baligh hote hi shadi karne ko kaha hai? Lekin ye sab log jaante hai ke male (boy) ki height baligh hone ke baad hi barti hai, lekin agar wo baligh hote hi shadi karde aur phir ek saal me usse bachhe ho jaaye.

Ye toh sab jaante hai ke choote bachhe bahut satate hai, toh agar wo admi baligh hote hi shadi karle aur phir usse bachhe ho jaye toh uski neend sahi nahi hogi, jiski wajah se us ki height par bhi asar parta hai, jaise ke sab jaante hai ke height sote waqt hi barti hai. Jab hormones ziyada se zyada release hote hai aur neend bahut zaroori hoti hai height growth ke liye. Toh jab admi baligh hote hi shadi karle toh us ki toh height hi ruk gayi. Hame is mas'ale par baar baar ishkaal hota hai.

Doosri biwi ka yeh shart lagana ke pehli biwi se hambistari nahi karega

Q: If a virgin girl is involved with a married man, they love each other and want to get married but the girl dont want to give rights to the 1st wife (hambistari), kiya is condition pe nikaah hoskta hai?

Kiya isse larki ko gunaah hoga? Agar ye baat soch ke larki nikaah se inkaar kar rahi hai ke wo apni pehli wife ke sath hamisbatri karega tu kiya phir bhi gunah hoga?

Apne jinsiyyat ko badalna

Q: I'm converting myself from a female to a male and I have done my all surgeries according to Islam. "Allah ki raza or Allah ki marzi se hi me mukammal hochuka hu isme. Agar shayatin ki shirkat hoti or Allah ki narazgi hoti to me apne aap ko mukammal hi na kar pata. Please mujhe ye janna he ke me ek mard ban chuka hu physically and mentally, kya me ab ek female se nikah kar sakta hu"?

Bachcha baligh hote hi shadi karne ka hukum

Q: Bachcha baligh hote hi shadi karne ka hukum hai na yani 14 or 15 years age aur aaj ke modern science aur research ke mutabiq agar bacchi 19 saal ya usse kam me pregnant ho jati hai toh us ke kai saare bimariyan aane ka bahut ziyada chances hote hai jaise, 1. High blood pressure, 2. Kidney problem, aur khoon ki kami waghaira waghaira.

Aur iska bachche per ye asar hota hai hi baccha 40th week me hona hota hai aur wo 37th week me hojata hai jisse baccha poora organs ke sath paida nahi hota kyunki main organs akhri chaar haftoun me hi bante hai aur baccha bahut kam weight ka hota hai. Aur ye practically bhi sabit hai toh kya is wajah se nikah me takhir ki ja sakti hai. Aur Huzoor Paak sallahu alihi wasalam ke zamane me baligh hote hi shadi kardete the na toh jab ye problem thi ya nahi?