ghusal

Khwaab ke ba'd discharge nikla huwa dekhna

Q: Me aap se teen cheezen poochna chahti hun

1. Kai baar mujhe khwaab to dikhte he lekin wo jinsi nahi balke kashish waala hota he to kya ye bhi ihtilaam hi hoga?

2. Agar khwaab yaad nahi he lekin uthne par dekha ke har roz waala discharge he to kya ghusal waajib hoga?

3. Agar uthne par uljan ho ke kya khwaab dekha ya nahi aur kapron par discharge me uljan ho mazi aur discharge ke beech to ghusal karna hoga?

Ihtilaam

Q: Me larki hu aur meri pareshaani ye he ke kuch dino pehle hi ihtilaam ke baare me pata chala he aur me bohot pareshaan hu kyunke mujhe har rowz safed discharge hota he, jab me so kar uthti hun tab bhi mujhe ye discharge milta he. Kya ye discharge mani ya mazi maana jayega? Is wajah se har rowz ghusal karna par raha he kyunke mazi bhi safed discharge ki tarah hoti he.