Rukhsati aur khalwat se pehle talaaq dena
Q:
1. Agar rukhsati na huwi ho aur na khalwat huwi ho to talaq ho jaye to kiya dobara nikaah hosakta hy?
2. Aur 2 talaaq di ho to kiya ek hisab hoga ya 2?
Q:
1. Agar rukhsati na huwi ho aur na khalwat huwi ho to talaq ho jaye to kiya dobara nikaah hosakta hy?
2. Aur 2 talaaq di ho to kiya ek hisab hoga ya 2?
Q: Agar shaadi se pehle biwi kisi wajah se apni shohar se ye kahe ke mujhe chor do aur shohar us se ye kahe ke agar aap mere saath khush nahi he to apne liye decide karle, haalanke shohar ka niyyat talaq ka bilkul nahi ho. Is ke jawab me biwi kahe ke me bilkul khush ho lekin me kisi doosri wajah se keh rahi ho.
Phir is mouzoo par baat karte karte kuch time bad shohar pooche ke aap mujh se aazad hone ke bad kiya karonge aur biwi kahe ke mera bas shadi karne ka mood nahi he aur me kabhi bhi shaadi nahi karonga to shohar us ke baat ko complete karne ke liye agar ye kahe ke aao bas aaj se start lete he aur kuch nahi karte he (dil me shaadi ka kehna murad ho) khatam. Aur phir biwi pooche kiya nahi karenge bas khatam aur is lafaz "khatam" ke kehne se shohar ka matlab sirf shadi ho aur dil me ye ho ke biwi kuch time bad zaroor shadi ke liye kahengi. To in alfaz se nikah par koi asar to nahi para?
Q: Agar husband wife ko gusse me kahe ke mar jao to is se nikaah pe koi asar to nahi parta?
Q: Agar koi shohar apni biwi se kahe ke jaa ke bata do sab ko ke mera shohar kaisa he kabhi mujhe talaaq dene ki baat karta he aur kabhi kehta he ke talaaq de dunga to kiya aisa alfaz se talaaq waaqi hoti he?
Q: Aaj ghusse me mere shohar ne kaha ke me tumhe chor dunga to kiya talaaq ho gayi he ya nahi?
Q: Aik jhagre me me ne talaaq ka mutalaba kiya ke aap mujhe 3 lafz bol ke talaaq de de. Is ke jawaab me mere shohar mujhe kehne wale the ke me tumhe talaaq nahi de sakta lekin jaise hi unho ne kaha "ma tumhe talaaq" me ne un ke mu pe zor se haath rakh ke mu band kar diya lekin unho ne mera haath hata kar apna jumla pora kiya ke "nahi de sakta" to kiya koi talaq hui mera un ke mu par haath rakh ke sentence rokne se?
Q: Ayk moqe per me ne apne shohar se kaha aap mujhe chor den or wo teen alfaaz bol de to mere shohar ne kaha ke me nahi bolta tum bol do tumhare bolne se bhi ho jaye gi to kia talaq ka haq mujhe permenently tafweez ho gaya ya temporary? Ya sirf us place tak he jaise he place change hui right bhi loose ho gaya?
Q: Agar larki aur us ke ghar wale aur larka ke ghar wale bhi talaak maange to kiya talaak dena gunah he?
Q: Agar biwi kahe ke mobile rakh ke beti ko daikh lo to shohar kahe ke acha chalo (gusse me) to is sy nikaah pe koi asar parta he? Me ne suna he ke chalo bhi kinaya word he? Kia biwi ko chalo, jao ya niklo gusse me kaha ja sakta he beghair niyyat ke?
Q: Agar mia biwi ki larai ma biwi kahe ke bohot tang aagayi hu aap se ya is tarah ke shikwe shikayat kare or shohar is pe kahe ke phir chor do mujhe jab ke us ki koi intention na ho talaaq tafweez karne ki to kiya is ilfaz se talaaq tafweez ho jati he?