Talaaq

Biwi talaaq ka mutaalaba karna

Q: Meri shaadi ko 7 saal se ziada ho gayi he. Mere shohar ne mujhe naan nafaqah ki koi kami nahi rakhi. Magar izdwaji huqooq pichly 5 saal se ada nahi kar rahe he. Shuroo me bohot ilaaj karaya. Allah Paak ne ek beta bhi diya. Ab me talaaq chahti hun.

Kiya mera talaq ka mutalba jaaiz he? 

Talaaq ko mu'allaq karna

Q: Me ek dost ke paas gaya tha. Waha thori se narazgi ho gayi to me ne ghusse me kaha ke agar me dobara yaha aaya to meri biwi mujh pe talaaq. Ab masla ye he ke woh dost mera phoopi zaad he. To mera sawal ye he k agar ayinda ke liye me gaya to kiya talaaq ho jayegi?

Iqraar karne ke bad talaaq ka inkaar karna

Q: Meri shadi ko 3 saal ho gaye he. Mere shohar ne mere baad kisi or se shadi kar li thi lekin jab mujhe pata chala, ma ne kuch nahi kaha. Phir us aurat ne khud un se talaaq le li aur phir kuch arse ke baad dobara us ke sath rehne lag gaye. Ye silsila phir 10 maah chala or unhi ihsaas hua ke wo galat kar rahe he lekin ab dobara wo us ke sath he or wo kehti he ke un ki talaaq nahi huwi jab ke wo khud kehti he ke unho ne 3 dafa talaaq di he us aurat ne khud un se talaaq li thi or ba qaida sign kiya tha. Kiya un ki talaaq ho chuki he?

Zabaani talaaq ke ba'd tahreeri talaaq bhejna

Q: Mere husband nay mujhy 2014 me zubani aik talaq di, uska koi tehriri saboot nahi tha, phir rujoo hogaya. Phir 2017 me aik notice bheja jis pe first notice likhwa tha, phir rujoo hogaya. Phir 2019 me aik notice bheja jis pe talaq dome likha tha. Hum samjhay ke 3 hogae, magar ab wo kehta hain ke abi 2 talaq hoi han kyun ke meiny mufti or wakely se mashwara kar ke pehle notice bheja tha us talaq ka tehriri saboot jo ke zubani di the, kyun ke agar mein ny us notice me ye nahi likha ke aik zubani di ha ab ye bhej raha hon, ab kitni talaaq hui?