Khwaabo ki Ta'beer

Khwaab ki ta'beer

Q: Mangal ki dopahar me meri sis-in-law ne mujhe khawab me dekha ke mai umrah krke aae ho or sabko khajur or zamzam banth rahi ho or hamara or ek jagh ghar ban raha hai or osme mai apne bete ko dhoond rahi ho. Woh mujhe nai mil para itne me meri sis-in-law ko mera beta dikhta hai woh bhi wash room me band raheta hai but khelta howa raheta hai. Otne me woh osse bahar lati hai tab mera beta white kapadoun me aajata hai. Osse pehle orange or white me raheta hai. Wash room se niklrahe hi oske Dada osse dekhar bohot khush hote hai. Jab woh khawab sona rahi thi tab Zohar ki azaan hori thi. Please answer me.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri behan ko raat 5 baje dream aya ke mere Abu ko aik admi bol raha he mujhe no lacs dedo warna acha nahi hoga. Or oper see os waqt meri shadi bhi hoti he and reality is April meri shadi he or Abu ki job ka bhi masla he. To please mujhe es khuwab ki tabeer bataen.

Khwaab me nakli daant lagaana

Q: Mene khwaab me dekha ke mein danto ke upar kuch nakli se dant lagaati hoon. Jab who utar ti hoon to teen niche ke dant tooth jate he bager pain or khon ke, or phir ghoom ho jate he phir mujeh mill jate he or me unko dubara se Jorne ki kosish karti hoon. To Who ek lag jata he phir me uth jathi hoon. Subha ke 8.00 pm yeh khwaab aayi thi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe khawab ki tabeer poochni ha. Mene dekha ke mein aur mera dost chat per bethe han. Mashriq ki taraf dekhrhy han. Subah ka time ha. Mene dekha ke asmaan per baadalo se Allah likha hua ha. Naam ke oper Suraj nikal raha ha. Mene dost sy kaha ke wo dekho Allah likha hua ha. Achaanak se usi taraf sy laskhar dorta hua araha tha. Ghoro (horses) per. ek ny mere dost par hamla kia. mein sath betha tha dost k mn b neeche gir gya. phir meri aankh khul gae. Fajar k baad k time tha... jab khawab dekha.

Khwaab me janaaze dekhna

Q: Sir ma ayk khwaab ki tabeer poochna chata ho ke subah fajar kawat tha main ne aik aajeeb sa khawab daikha ke jis me bohat sare logon ko janazay lejate daikha. Janaazay may bhi paanch ya saat the jis me kuch pehle janaze Hazaro ya Lakhoo ki tadad me loog le ja rahe the aur may b 3 janazay Oonthoo pe ja rahe the aur us ke peechay bohat sare aur janwar the jiss me Haran Bakriyaan aur safaid oonth the.