Khawateen ke Masaail

Haidh ke kuch masle

Q: Mujhe 3 mahine se haidh mn beqaidge ke shikayet hay. Pichle mahine 19 October se namaz shrou ke thee. Dr ne haidh ko regulate krne k liye dawa de jo 24 October se shrou ke or 13 November tk (21days) tk kha k rok dene hay jis k baad haidh shrou hona chaye. Maslah ye hay k 9 Nov ko asr k waqt maine green colour ka pani dekha, phir 12 Nov ke zuhr mn dekha jo bohot he halka peela mehsoos horha tha (agr bohot ziada ghor se dekho). Jb k baqe waqt safaid pani he ataa rha 13 Nov ke rat 10:30 pe phir light green colour ka pani dekha.

1. Kia 9 Nov se haidh shumar kia jayega jb k ye pani musalsal nahin arha tha.

2. Dawa chorne k baad lazmi khon aye ga to kia wo istehaza mn shumar hoga baqe k 10 days nikal k agr waqi 9 Nov se haidh k din shumar karen to?

3. Haidh ka jb se maslah hua hy bar bar wehem hotay hn, aise mn kia krna chaye?

Haidh se pehle spotting

Q: Mera masla ye hai ke mensis baqaeda shuru hone se 10 din pehle se spot ajata hai.ye spot 10 ya 8 din pehle se rozana aik ya do martaba din mai ata hai.jis ki waja se mai pareshan hoon barahe meherbani mujhe bataen main namaz or roza ker sakti hoon jab tak spot aae to.

Talaaq ke ba'd iddat me bethna

Q: Mere chote chacha ke 5 bache hn jinme 2 doodh pite bache hn. Chote chacha ki biwi ghar se bhaggai hn kisi or ladke kepas apne 2 doodh pite bache ko lekar. Ab hamare chacha apne susral me kerae hn or kehte hn mene divorce dedi h apni bivi ko. Muje ye bataen shariat ke hawale se unhone jo divorce di h wo qabool h ya nai kyunke unki bivi hamari chachi to iddat me bi nai bethi kyunke talaaq ke bad iddat me to betna parta hai na? Wo bs bhaggai ghar se n koi contact nai h ab?

Aurat ko gharelo kaam me lage rehna

Q: Meray board kay papers jab bhi hotay hain tou ghar main koi na koi bara masla hojata tou yeh esa kyn hota hai? And secondly main bht mehnat karti lekn mujhay utna acha result nhi milta jitni main chahti hun... Mera abhi HSC part 1 (first year) ka result anay wala hai isi lyay aap plz mujhay koi wazeefa ya dua btaen jis say mera result bht bht acha aae aur mera DMC (dow medical university) ya ussay achi university main admission hojae first attempt main.

Iddat me kaam par jaana

Q: Mera masla ye he k mere divorce hone wale h 2-3 din me. To muje iddat kb se or kaha, kis tarah bharni hogi? Me pichle 5 mnths se apni ammi k ghr hu. Meri phli shadi se 1 beti h jiski parwarish k lie me job krti hu. Me teacher hu or meri school ghr se 20 km dur h. Ghr me koi mard h nhi sari zimedari meri h to kya me iddat k doran bahar ja skti hu? Meri school me sirf ladies staff h or koi or income ka zariya nhi h to kya possibilities h?