Bacho ke naam par qasam khaana
Q: Kisi aurat ne apne bachon ki qasam khai. Ab wo pareshan he ke kiya kare kyun ke apna yaqeen dilane ke liye qasam khai.
Q: Kisi aurat ne apne bachon ki qasam khai. Ab wo pareshan he ke kiya kare kyun ke apna yaqeen dilane ke liye qasam khai.
Q: Me ne jab mangni ki ti nikah nahi howa ta uske bad me ne qasam khayi ke agar me aik ghalat kaam ta agar wo karu tu meri mangetar ko 3 talaq... Shadi tak me us kaam se bacha raha shadi ke saal bad me ne dobara wo kaam kiya... Qasam khaya ta shadi se pehle us waqt meri biwi meri nikah me nahi ti aur qasam torh diya nikah ke bad... Intention mera ye ta ke me is kaam ko chorh du bus... Ab aap bataye talaq hogayi ya nahi me boht tension me hu.
Q: Me ne 2 saal pehle jazbaat me Quran par hath rakh kar qasam kha li thi ke me cigarette nahi piyunga lekin ab mujh se reh nahi ja raha peeye beghair kiya me ab pee sakta hu?
س: میرے ایک دوست نے قرآن پر ہاتھ رکھ کر یہ قسم کھائی کہ میں تجھے نہیں چھوڑوں گا۔ اب وہ یہ قسم ختم کرنا چاہتا ہے اور اس پر اسلام کے حوالے سے کیا حکم ہے۔
Q: Agar koi Quran ki qasam khaye ke ek kaam nahi karega aur torh de to uska kaffara me 10 logo ko khana khilana ya muafza dena hota he? Kiya hum wo total amount kisi ek mustahiq ko nahi desakte ek sath jisko zaroorat ho? Aur ye batade k 10 logo he to ek shaks ka kitna dena parega?
Q:
1. Agar Quran ki qasam khayi aur torhdi to kiya uska kaffara kisi 1 ko desakte he banisbat 10 ke aur kiya wo ek kisi rishtedar agar khandan me koyi mustahiq ho desakte he?
2. Khandan me dena jaaiz he?
3. Aur kiya jis se de us se batana chahiye ke hum agar tumhe khana de rahe he ya ause de rahe he to woh kis cheez ka he ya kaffara?
Q: Ammi ne mujhse ek dafa ek qasam uthwai ke jo puchu sach batana kiya tum kisi larke se baat karti ho phir us se pehle me us se breakup karke bethi thi to ammi se me ne kaha nahi aur bad me mujhe khayal aaya ke mujhe phir bhi bata dena chahiye kahi jhoot na hojaye to me ne sab sach bata diya phir ammi ne mujhse baqi sawal ki ke kiya karta tha kaun tha ye woh usme se me ne kuch bate jhoot boldi aur kuch sach kiyun ke abto baat hi nahi hora hi thi phir kiya woh bhi qasam me shamil hogaya jo bad me ammi ne pucha us waqt to mujhe andaza nahi huwa phir bad me jab mujhe ehsaas huwa ke aisa hogaya he to me ne bad me ammi ko sab bata diya kiyun ke me ne jaan boojh ke jhoot nahi bola tha. Kiya iska gunah he?
Q: Me ne Quraan pak pe hath rakh ke kisi se wada kiya tha ke aainda kuch khas kaam he jo nahi karun ga phir ab wo kam karna para he to kiya me kar sakti hu kaffara de kar aur kaffara kiya ho ga is ka? Me ne Quraan pe hath rakh ke wada kiya apni marzi se.
Q: Me ne apni mangatar ko bola tha ke wo kabhi bhi khud ko nuqsan na punchay or na he blade mary agar us ne aisa kiya to me us se kabhi baat nahi karun ga, yeh baat ma ne maa ki qasam keh ke boli the. Mujhe bata de ke ab iska kiya hal he? Mujhe us waqt puri tarah se malooom nahi tha ke maa ki qasam nahi kehni chahiye.
Q: Meri umer 18 saal he or me ne khauf me apne waalid se jhoot bol diya or Allah ki qasam khaa li he. Me sharminda hu aur me ne Allah se or apne waalid se maafi mangi he lekin is ka kaffara kiya hoga?