Saas ki taraf se pareshaaniya

Q: Mujhe pochna tha ke meri 2 betiyan hain Alhamdulillah nere bache buhat chote hain abhi or meri saas mere sath rehti hain or wo har bat ma kehti hain ye mera haq ha mere bachon ko jo bat wo batati hain mere bache meri bat nai sunte or mujhe poche bagair wo mere bachon ko bahir lejati hain kbi meri nand ke ghar bhejdeti hain or mere husband b kuch nai kehte ulta mujhe he chup karate rehte hain ma bht pareshan ai hui hun kia dadi ka haq bachon pe zayada ha maa se har waqt mere bacho ke samne khti ha tum log dressing achi karo mama se bolo ke tum ye dress nai pehnugy or agr ma dant don bachon ko tu kehti hain tum se bache nai sambhale jate apne kamre ma mere bachon ko lejati hain or ma kuch nai karsakti itni bebasi kia ye islam ha ke wo itne aram ma beta k ghr ma or beti ke ghr k kareb rehti jo chahe karti ha Allah ne apna ghr driver sab diya ha or ek or beta ha par phr b mere or mere bachon ke peche pari ha tang achuki hun ma unse mere hsband tu bs job pe hote ha ya computer pe bethe rehte hain namaz parhne chalejate hain ya khelne chalejate hain humare upar apni maa ko chor dete hain ye kesi neki kamani hui unki waja se kai bar mere husbnd se b larai hui kia ma apne bachon ko kuch keh nai sakti unko dosro k ghr jane se ruk nai sakti ma kia karo mere bache hain ma unse buhat pyar karti hun Allah meri madad karde plz bataye ma kia karun wo apne dosre bete ke pass kio nai jati jab ke wo akela ha usk b neighbour ma uski behan rehti ha ye kio nai jati usk pas... koi hal ha kia is bat ka?

A: Aap rozana subuh aur shaam bachcho ko bitaa karke unke saath ta`leem kare Fazaa'il-e-A`maal aur Fazaa'il-e-Sadaqaat ki aur zikr aur Qur'aan Shareef ki tilaawat kar. Allah Ta`ala har dushwaari ko door farma.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)