Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Business me jhoot bholne se ziada paise milna

Q: Mera sawal ye hy k apnay business main apni country ghalat batanay se kia rozi haram hogi.. ya gunah hoga? kitna..? Is ghalat btanay se kisi ko nuqsan b nai hoga, na hi hm kisi ko dhoka detay hain... bs hmary pas log wo ayen gay jo ziada paisay detay hain...

In detail:

Main aik freelancer hon. Website designing or graphic designing krta hon. Online hamary mukhtalif mulkon k clients atay hain. Pakistan ki market buht down ho chuki hay... Uski do main wajoohat hain.

1. Logon ko kam nai ata pr lalach main kehtay hain k hmain ata hy or clients ki websites main cheezain khrab kr detay hain. Is wajah se bahr k logon ka Pakistanio pr trust nai hay...

2. Yahan k kch log jin k pas clients thoray atay hain wo ziada kaam buht km paison main kr daitay hain...

Ab mera aik dost hay, hm ikathay kam krty hain... or mujhay us se ziada kaam ata hay... main uska teacher hon is kaam main, jo kam wo nai kr skta wo usay main kr k deta hon... us ki profile UK ki bni hui hy. Wahan pr jo log atay hain, wo paisay ziada detay hain. Meri profile Pakistan ki hay. Meray pas wohi log atay jo paisay buht kam daina chahtay hon. Q k USA, UK k freelancers ziada paisay laitay hain, is lye wo Pakistanio se buht km paisay main kam karanay atay hain. Jo ziada paison wala client hota hy, wo Pakistanio pr aitbaar hi nai krta... Ab halan k mjhy apnay dost se ziada kaam ata hy, pr uski kamai meray say 4 guna ziada hay... Ab is soorat me main kia kron..? Q k meray mulk ghalat batanay se client ka koi nuqsan to nai hoga.. Ab ye rozi haram hy? ya sirf gunah hy... kitna gunah hay..?

Forex Trading

Q: Mera sawal ye hay ka 1 online earning website hay jo forex trading ka kaam karata hay.....faraz k may nay is may 10$ invest kiya tu wo daily 12% mujhay daita hay aur 25 din tak. Kiya ye sood may ata hay k nahi?

Academic writing se kamaana

Q: Mai ne ap se pochna tha ke academic writing se hny wli earning halal ha ya haram Is mai ye hta ha k angrez apna school ka homework khud nai krty yha pakistan mai log unko kam kr dty hain orangrez unko paisy de dty hai phr wo apny teacher ko apna honework submit kra dty hain apna nam oper likh kr to is tra is mai jhoot or dhoka aa jata hai to kia ye earning haram ho jai gi?

Commission lena

Q: Mufti saheb mera sawal yehiki my ek teen star hotel me store manager hun our meri salary bohat kam hi is mere jaririyat pure nahi ho pathe kya mai comission lena jaiz hai? Managment yeh sounch kar muje kam salary dethi hai ke muje comission miltha hai kya my comission lena jaiz he?

Jhoota bill banaa kar paise lena

Q: Mere miyan jis company main job kerte hn wahan khane k 30 riyal roz milte hn jo pore commissioning mn milte rahen ge.jo bill dekha k liye jasakte hn.bill kise bhe hotel ka ho wo check nai kerte. Mere miyan perheze khana khate hn to wo gher se pakwa kr lejate hn.or wo paise wusol nai kerte jb k or log bhe gher ka khana le kr ate hn pr wo jhota bill apne traf se bna kr dekha dete hn.ye baat secretory ko bhe maloom ha pr comapny ke policy ye ha k app bill k bagher paise wosool nai kr sakte. Pochna ye hai k jhota bill dekha kr paise liye jasakte hn kia ye jaiz ha?