Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Bima

Q: Aaj ka musalman LIC BIMA karwate hai to kiya sahi hai iska jo premium beech beech me milta hai to kiya wo paisa halaal hai?

Network marketing

Q: Mera sawal yeh hai ke mai ek network marketing bussiness karta hoo jis ka product education computerbased hai. To kya yeh haram hai aur agar hai to kaise? hawala ke sath please batayee.

Bank ka audit karna

Q: I am working in MNC, as an Lead Audit associate, mera kaam hai us ki Audit team ko support karna. Us ke Audit client hai Bank, aur mein sirf audit team ko support ka kaam karta hoon? Meri income halaal hai ya haram? 

Soodi Muaamalaat

Q: Mera sawal sood ke bare main hai ke aik muslim aur nonmuslim main soodi moamlat maslan ghar ya car ke liye kisi bank se qarz lene ke bare main kya hukkam hai. Foreign countries main rehne wale muslim agar ghar ya kisi aur maqsad ke liye foreign Banks se moamlat teh karte hain to kya ye jaiz hai, main ne suna hai ke agar aik muslim aur non muslim aapes main koi Aisa muahida karte hain jis main sood ka amal dakhal ho to agar muslman ka faida hai to phir ye muahida karne ki ijazat hai kya main ne theek suna hai?

Soodi karobaar

Q: Mene phly b question kia tha mgr ap ne kha k swal waadih ni ha. Actualy me pharmaceutical compny me kam krta hu hmri compny car ki facility bhe deti ha car k liye policy ye ha k car ki downpayment mene krni hai us pe jo markup bnta ha jo bank hm se ly ga wo markup compny pay kry ge kia is trha se bank se car lena jayez hai kiu k mjy sood k bary me confirm krna tha k us ka gunah mery sir ho ga ya compny k sir. Farz kr len k car ki qeemat 10,00000 ha. Compny ne leasing amount fix ki ha k 5 lakh tk dy ge har mah instalments ki shakal me. Ab baqi jo 5 lakh bachy wo mene pay krny hain downpayment ki shakal me. Jo mene pay krny hain wo kisi se udhar ni lia apni
saving se pay krny hain.compny loan bhe dy ge jo har mah 5 hzar kr k mri salary me se deduct kr ly ge. Bs mjy ye clear kr dain k aisi surat me sood ka maamla kia ho ga. Kiu k mne to sirf downpyment krni ha. Instalment markup ye to compny pay kr rhe ha. Ab mjy car leni chahye ya mjy koi mshwra dain. Agr me sara apny tarf se krta hu to down payment to mene daini he hai sath me mjy har mah instalment aur markup bhe dna pady ga yanh sood mjy khud he dna pary ga is case me markup instalment compny pay kry ge. Bs mjy yhi confusion ho rhe ha k car lu ya na lu ap thora clear kr dain.

Qardh ada karna

Q: Mein ny kuch arsa pehly aik sahib sy kuch paisy udhar liey. Wo sahib shariat k paband aur tblighi jamaat sy munsalik thy . sahib e hasiat hhein. paisy deiny k baaad un k behaviour mein tabdili a gai kuch fazzol kisam ki batin kin jin ki waja sy mein ny unhin sakhti sy dant diya. ab mein qarz wapis krna chah rahi hon mein ny unhin masseg kiya k ap apna account no dey dain ya mein kisi k hath ap ko paisy bhijwa don. un ka jawab aya k mein ny paisy is trha na diey thy na lon ga. ap khud a kr wapis krin. paisy to maaf bhi kiay ja sakty hein ap dena hi chahti hein to jasy mein ny a k diey wesy hi ap a k dein. aik sort hy pasy wapis krny ki k ap kbhi kabhi  phone py  mujh sy baat kr liya krin agr aesa nhi kr saktin to sirf masseg kr liya krin. wo sahib 3 baar umra kr chuky hein aur har baar mujhy masseg krty hein k mery sy jo ghalti hoi mujhy muaaf kr dein lakin. qarz ki wapsi py un ki ye shart keya kehti hy. mery sar py qarz k bojh hy mujhy samjh nhi ata keya kron. wo kisi aur trha peisy leny ko teyar nhi.ya khud ja k don ya un sy rabita rakhon.

Insurance ka kaam

Q: Government of India ki Insurance Insurance Company hai jisme life insurance ke alawa baaki sab insurance hota hai. Is company ki branch dubai mein hai jo ke ek local partner ke saath mil ke office kholi gayi hai. Insurance compnay ka jo bhi business hoga uska 30 se 35% dubai ka local partner lega aur baki rakam insurance compnay ko milegi. aur jo bhi claim hoga uske paise insurance compnay ko bharna hai. is dubai office mein two officer log government of india ki taraf se posted hai aur baaki 50 log dubai ke local partner ke employee hai aur inki salary, bonus dubai ka local partner deta hai jo usko 30 se 35% milta hai insurance compnay se. Kya is compnay mein kaam karna jayez hai.

Tiens company me membership lena

Q: Tiens China ki compny ha or yh pakistan men 2002 se kam kar rahe ha or direct selling k through yh bussiness karti ha or 1000 is ki products hen
or apne product plants bhi hen. Company ko join karne ka yh tariqa ha. 1800 Rs ki registration hoti jis men 5 day class men pehly company ka  introduction karwaya jata ha or 1 busines book or 1 license card dia jata ha. Owr company men account bhi open kia jata ha. Is stage ph admi ko 1* (one star) ka rank mil jata ha. or phir 300 dolar ki shoping must ha jis men sirf company ki products i.e medicine, health products. tooth paste, health  device , BP control device etc. ki purchasing karni parti ha. 300 dolar ki shoping complete hone par 3* ka rank mil jata ha. is k bad ap ne apne sath mazid kam az kam 4 frends ko jion karwana ha or woh sub isi tarah 300 dolar ki shoping karen ge phir ja kar mujhe 20% commission mile gi. ab woh 4 log jo mere neeche kam kar rahe hen woh sub 4, 4 frends ko jion karwate hen to jin ko men ne apne neeche jion karwaya tha un ko 20% or mujhe 4% commission mile gi or is tarh yh chain ban jati ha or agr mere neeche 1ooo admi ki chain ho sub se last wala agar koe shoping karta ha to us ki commission sub ko milte milte mujh tak bhi ponche gi.

1. Men ne anpe sath 4 log direct lagaye the kia un ki 20% commission lena jiaz ha?

2. Jo log mere sath indirect hen kia un ki 4% commission lena jiaz ha?

3. Agr men 300 dolar ki shopping nah complete karon to mere through jitne log jion ho kar working karen ge to mujhe kuch nai mile ga. Kia shoping wali sharth thek ha?

4. China wale non muslim hen un ki company ko fiada pochana thek ha?

5. Jo mufti sahib jiaz ka fatwa daite hen to un ke bare men kia hukam ha or jo najiaz ka fatwa daite hen to un k bare men kia hukam ha. Yahan ph kis
mufti sb ki bat mani jaye?

6. 300 dolar ki shoping kahen fuzool kharchi to nahi ha. agr ha to phir shriat kia kehti ha?

Please company ki mukamal reseach kar k mjhe guide ki jeye.
men khud is men jion hon ur 300 dolar ki shoping kar chuka hon.
from sargodha, punjab pakistan