Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Insurance ka kaam

Q: Government of India ki Insurance Insurance Company hai jisme life insurance ke alawa baaki sab insurance hota hai. Is company ki branch dubai mein hai jo ke ek local partner ke saath mil ke office kholi gayi hai. Insurance compnay ka jo bhi business hoga uska 30 se 35% dubai ka local partner lega aur baki rakam insurance compnay ko milegi. aur jo bhi claim hoga uske paise insurance compnay ko bharna hai. is dubai office mein two officer log government of india ki taraf se posted hai aur baaki 50 log dubai ke local partner ke employee hai aur inki salary, bonus dubai ka local partner deta hai jo usko 30 se 35% milta hai insurance compnay se. Kya is compnay mein kaam karna jayez hai.

Tiens company me membership lena

Q: Tiens China ki compny ha or yh pakistan men 2002 se kam kar rahe ha or direct selling k through yh bussiness karti ha or 1000 is ki products hen
or apne product plants bhi hen. Company ko join karne ka yh tariqa ha. 1800 Rs ki registration hoti jis men 5 day class men pehly company ka  introduction karwaya jata ha or 1 busines book or 1 license card dia jata ha. Owr company men account bhi open kia jata ha. Is stage ph admi ko 1* (one star) ka rank mil jata ha. or phir 300 dolar ki shoping must ha jis men sirf company ki products i.e medicine, health products. tooth paste, health  device , BP control device etc. ki purchasing karni parti ha. 300 dolar ki shoping complete hone par 3* ka rank mil jata ha. is k bad ap ne apne sath mazid kam az kam 4 frends ko jion karwana ha or woh sub isi tarah 300 dolar ki shoping karen ge phir ja kar mujhe 20% commission mile gi. ab woh 4 log jo mere neeche kam kar rahe hen woh sub 4, 4 frends ko jion karwate hen to jin ko men ne apne neeche jion karwaya tha un ko 20% or mujhe 4% commission mile gi or is tarh yh chain ban jati ha or agr mere neeche 1ooo admi ki chain ho sub se last wala agar koe shoping karta ha to us ki commission sub ko milte milte mujh tak bhi ponche gi.

1. Men ne anpe sath 4 log direct lagaye the kia un ki 20% commission lena jiaz ha?

2. Jo log mere sath indirect hen kia un ki 4% commission lena jiaz ha?

3. Agr men 300 dolar ki shopping nah complete karon to mere through jitne log jion ho kar working karen ge to mujhe kuch nai mile ga. Kia shoping wali sharth thek ha?

4. China wale non muslim hen un ki company ko fiada pochana thek ha?

5. Jo mufti sahib jiaz ka fatwa daite hen to un ke bare men kia hukam ha or jo najiaz ka fatwa daite hen to un k bare men kia hukam ha. Yahan ph kis
mufti sb ki bat mani jaye?

6. 300 dolar ki shoping kahen fuzool kharchi to nahi ha. agr ha to phir shriat kia kehti ha?

Please company ki mukamal reseach kar k mjhe guide ki jeye.
men khud is men jion hon ur 300 dolar ki shoping kar chuka hon.
from sargodha, punjab pakistan

TV ki kamaai

Q: Kya dish tv mai kaam karna jaiz hai, mai dish fitting karta ho, par sale nahi karta, to kya ye kamai mere liye halal hai, usme 1 islamic channel hai jo zee salaam hai.

Rishwat

Q: Agar koi sarkari job Hasil karna chahe or wo paison se mile to kia pese dekar nokri le sakta he ya nai is bare me tafseel se bataen?

Logon ki raqam ku leker bhaag jaana

Q: Ek sahab ne kitab ke karobar mein lagane ke liye is wade per raqam liya ke unhe takriban 8%se  10% fisad ke dermiyan munafa her mah unke raqam per milega.do saal  tak munafa logon ko isi tarah milta raha.Halanke do saal tak unke karobar ka sahi ilm bhi logon ko nahin ho saka. do saal ke baad achanak woh sakhs logon ki raqam leker  farar  ho gaya. Mujhe un  sahab ne apna agent banaya tha. Main logon se unki raqam leker un sahab ke paas pohcha dia kerta tha  aur her mah 8% se 10% fisad ke dermiyan jo munafa mujhe milta ttha woh puri  raqam logon ko de diya kerta tha. Logon ki di hui raqam aur karobar ke talluk ka kagzat bhi bana ker  de diya kerta ttha. Ye kagaz meri janib se hota tha jisme un sahab ka koi zikr nahi hota  tha. Halanke logon ko iska illm tha ke meri haisiyat sirf ek agent ki hai aur raqam un sahab ke paas chala jata tha. Brah-e-karam is tafseel ki roushni mein mujhe hisbe zial sawallat ke jawabat merhamat farmayen ain nawajis hogi.

1. Logon ka mujhse apni raqam ka mutalba kerna jaiz-w-na-jaiz kis derje mein hai.

2. Kya logon ki lagai hui raqam ki adaigi mere zimma zaruri hain. Agar zaruri hain to kis derje mein hain. Halanke meri haisyat sirf ek agent ki thi aur logon ki raqam kafi miqdar mein hain  jis ka lauta pana mere liye mumkin nahin.

3. Kya logon ki behad israr per raqam ki adaigi ke liye zakat ki raqam li ja sakti hain.

4. Logon ka apne raqam ke aiwaz mein meri janib se di jane wali raqam (zakat) ka lena kis derje mein hain jaiz-w-na-jaiz hain.