Mutafarriqaat

School me daakla ke lia donation lena

Q: Main English school main admission karwata hoon donation le kar kyun ke un bachoo ka naam list me nahi ata hai aur ye school wale jaan kar karte hai donation laney ke waje se khas ke muslim bachho ko aur jo log mujhe jante hai wo mujhse request karte hai addmission karwa digye us me muslim bhi rahte hai aur non muslim bhi aur mai addmisson karwa deta hoon donation le kar wo donation school wale le lete hai aur mujhe bhi kuch share milta hai aur is line mai bohat froud bhi hai jo paisa kha jate hai magar mai aisa nahi karta hoon kyun ke kisi ke bacha ka future ki baat hai kya mai thik karta hoon kyun ke kuch logo ka kehna hai mera ye paisa haram hai. Please advise.

Sea food

Q: Sea food kown kownsi halaal hoti hai? Please pori detail ke sath bataye ga. Hum south korea main bohut problem hai.

Ghair mashroo' tareeqa zabah karne ke lia

Q: Mera sawal ye he ke me Philippines me study kar rha hu yha per student rehte he. Yha per koi muslim gay (gay) bhens(buffalo) Zabah nhi kerta yha Isai log gost bechte he per wo zibah nhi Kerte . Wo log janwar ko dil ke pas churi bhok ker uski rage kat te he or khoon collect Kerte he or wo khoon ka istimal khane me Kerte he . Mera sawal ye he KI ham Unke kasai khane me jaker janwer zibah Kerte he per uske bad faouran wo janwer ke dil ke pass churi bhok ker uske dil ke rage kat ker khoon collect kerte he.. Or ham usme se kuch gost kharid lete he .. Kyu KI pura janwer kharidna mushkil he or mehenga he To kya pehle zibah kiya huva or uske bad dil KI rage kat ker khoon collect kiya huva janwer ka gost khAnA halal he ager nhi to hamne aage jo khya he uska kese kaffrra ada kre.

TV ku istimaal karna tableegh ke lia

Q: Aajkal Islam ki tabligh ke liye Television ka estemal hota hai. Suna hai Qu'ran e karim me Tashwir ko mana farmaya gaya hai. To kya ye Qu'ran ke khilaf arzi nahi? Aur Qu'ran ke khilaf koi bhi chiz ko jaiz karar kara dena to kufr hai. Qu'ran ka hukm tashwir ki kis kism ke baareme hai aur Video bhi to tashwir ka hi hissa hua. Baraye karam en saare maslo par khulase se wazahat farmaye. Jazak Allah.

Sawaab ke baare me ayk sawaal

Q: Agar aik shakhs janta hay ke mein yeh amal karunga to yeh sawab milay ga aur wo amal karta hay to usay sawab milta hay, aur aik shakhs hay jo wohi amal karta hay lekin usay yeh nahi pata ke muje itna sawab milay ga, to kia dono ko brabar sawab milay ga ya jis ke jo neeat ho ge us ko utna sawab milay ga?