Tahaarat

Ihtilaam

Q:

1. Agar mujhe khawaab yaad he aur mahsoos bhi huwa ho ye ihtilaam hoga lekin agar mujhe koi khwaab yaad na ho aur na hi kuch bhi mahsoos huwa ho lekin uthne par gheelapan ho jo ke aam towr par awrat ki sharamgaah se discharge hota he to kya ghusal waajib hoga?

2) Mujhe ziyaadatar gheelapan mahsoos hota hai toh mujhe ye kaise pataa chalega ke mani toh nahi?

3) Kya awrat ki sharamgaah se discharge aur mani ke rang mein farq hota hai?

4) So kar uthne par awrat ki sharamgaah se discharge dehkne par ghusl farz hai? Agar farz hai toh kya mahine ke ziyaadatar dino mein ghusl karna hoga?

Mazi

Q: Mujhe halke se bhi agr ihsaasaat hota he (josh) to mera khara huwe beghair mazi nikal jaati he jis se kapre geele ho jate he aur mere pero me sunn mahsoos hota he gud gudi si mahsoos hoti aur jab me kisi larki se baat krta hu tab bhi nikljata he ayk do qatre.

Napaak kapra

Q: Agar napaki (haiz) ke dino me kapre pehnay ho, un pe napaaki na lagi ho to kiya wo napaak hongay? Un ko bahtay pani ma hi pak karna ho ga ya sirf dhole? Kis mard or aurat ke kaparay ayk sath machine ma nahi dhonay chahiye agar showhar ke bhi ho?