Shaadi

Bache ke saath khelne se kiya hurmat-e-musaharah saabit hogi?

Q: Mera beta 7 months ka he. Mera beta zameen par laita hua tha aur me us ke saath gud guddy wala game khel rahi thi aur me us ke ooper khari ho gayi khelte khelte phir ek dum se soch aayi khud ba khud ke meri lower body mere bete ki lower body se touch horahe he, me phir foran se hat gayi. To is soch se me apne miya par haraam to nahi hui na?

Lawaaris bacha ko apna naam dena

Q: Agar hum koi bacha (kuch din ka) jo ke lawaaris he, us ka nasab bhi maloom nahi, parwarish ki niyyat se lete he to kia documentation me us ke walid ki jagah apna naam likhwa sakte he? Humari niyyat bache ka nasab badalne ki nahi, sirf bache ko izzat ki zindagi dene ke liye documentation banwana he aur future me bache ko us ke bare me sab bata dene ki niyyat he.

Kiya is soorat me us ke walid ki jagah apna naam likhwa sakte he? (Humari koi aulad nahi he aur hum apni property sawab ki niyyat se us ko dene ki bhi niyyat rakhte he).

Rukhsati se pehle biwi ke saat baat karna

Q: Meri nikaah hua he aur kisi wajah se rukhsati foran nahi hosakti he aur mujh me aur mere shohar me shehwat bohot ziyada he to wo mujhse phone par dil lagi ki aur bose bazi ki baate kar ke lazzat lete he lekin hum koi ghalat kaam nahi karte shehwat ko bardasht karte he.

Kiya humara phone pr yu baat karna jaiz he is se hume aaram bhi milta he aur shehwat bohot barh bhi jaati he aur mera aur mere shohar ka zehani dabao us waqt halka hota he kuch.

Azal karna

Q: Bache me waqfe ke liye condom istimaal karta hu aur condom se biwi ke ander nahi jata he to me bahar farigh karta hu. Bahar nikalna gunah to nahi?