Shaadi

Biwion ke darmiyan barabari

Q:

1. Agar doosri biwi ka pehli biwi ko pata nahi to us waqt tak dono bewion main adal karna laazim hai?

2. Deen main pehli biwi ko batana zaroori nahi k doosri bhi biwi hai. To aisi soorat main barabar k din (waqt) kaisey taqseem hoga? Kiya us per ALLAH ki pakar nahi hogi?

3. Kiya doosri biwi ko wohi sab kuch bhi dena laazmi hoga jo uski (doosri biwi) ki shaadi sey pehley us k husband ki pehli biwi ko dey chuka hai?

Baaligh hote hee shaadi kar lena

Q: Islam me baligh hote hi shadi karne ko kaha hai? Lekin ye sab log jaante hai ke male (boy) ki height baligh hone ke baad hi barti hai, lekin agar wo baligh hote hi shadi karde aur phir ek saal me usse bachhe ho jaaye.

Ye toh sab jaante hai ke choote bachhe bahut satate hai, toh agar wo admi baligh hote hi shadi karle aur phir usse bachhe ho jaye toh uski neend sahi nahi hogi, jiski wajah se us ki height par bhi asar parta hai, jaise ke sab jaante hai ke height sote waqt hi barti hai. Jab hormones ziyada se zyada release hote hai aur neend bahut zaroori hoti hai height growth ke liye. Toh jab admi baligh hote hi shadi karle toh us ki toh height hi ruk gayi. Hame is mas'ale par baar baar ishkaal hota hai.

Deobandi larke ka rishta

Q:

1) Deobandi ke aise konse aqeedah hai jis ki waja se woh kafir kahlaaty? 

2) Kiya sunni aur Deobandi ki shaadi hosakti? Aisi surat me kiya woh kufraana aqaa'id follow nahi karti ho?

3) Mere liye Deobandi ka rishta aaya he. Woh kahty hai hum hanafi fiqh ko follow karte hai. Mujh ko teen aqaa'id jo patah tha, Deobandi ke bare me, kufraana hai. Me ne us larke ko bataya jo shaadi karna chahta he to woh kahta hum ye follow nahi karte, to kiya mai aur mere ghar wale is rishta ke liye haa bol dai?

Nikaah ka matlab

Q: 

1. Islam me mard aurat ko mehar de kar apni biwi banani hoti hai, aur mard kehte hai ham ne paise dekar kharida hai. To kya aurat ko paise dekar kharidi jaati hai? 

2. Kya aurat shohar ki ghulam hai jo usku shohar ki har baat manni parti hai? 

3. Aurat ko talaq dene ka haq kyu nahi hai?