Shaadi

Haq-e-mahar ada karne se pehle biwi ke saat humbistari karna

Q: Kiya haq mehar pura ada na karne se biwi shohar ke liye haraam hojati hai? I mean to say k biwi ke sath shohar humastri kar sakta ya nahi?

Meri shadi ke waqat meri biwi ke haq mehar 10 hazar rupee our 7 tola gold the howa. Lekin me ne haq mehar me sirf 10 hazar rupee our 3.5 tola gold diya. Ab kiya mera nikaah theek hai? Kiya me biwi ke sath jima (humastri) kar sakta ho ya pehle muje sara haq mehar pay karna hota. Humari rukhsati ho chuki hai. 

Kisi mahram ke bare me bure khiyalaat aate ho

Q: Hume kisi mahram ke bare me bure khiyalaat aate ho. Hum khud se nahi laate, naturally aate he aur control karne ki bohot koshish ki ho nahi hote ho. Ek hi ghar me rehne ki wajah se hume unhe touch bhi karna parta he majburi me lekin dil nahi karta touch karne ka toh mujhe ye puchna he ki touch karte waqt khiyaal aa jaye aur body me thoda feel ho khiyaal ki wajah se aur dar se bhi kyunki khiyaal ki wajah se touch karne me dar lagta hu but koi lust ki feelings nahi ho na kabhi dil me uske liye aisa kuch ho to kiya thoughts ki wajah se hurmat establish hogi ya nahi? Tauba ki surat bataye or khyalo se kaise bache ye bhi bataye.

Khaawind ko doosre nikaah karne ke liye pehli biwi ki ijaazat lena

Q: Mery 5 bache he aur mere husband ne ab aa ke doosra nikah kar liya he. Wo bhi meri ijazat ke bina.

Aur jis se nikah kiya he wo bhi pehle se married he phir mere husband ke sath nikah karne ki waja se uske pehle husband ne us se talaq de dee he. Wo mujhe nahi pata ke legal dee he ke zubani dee he.

Us ke ghar walo ko bhi nahi pata, naa hi Maa baap ko naa hi bhaio ko.

Mery husband national bank my job karte he aur wo aurat sunhari bank my kaam karti thi. Mere bache ab khud shadi ke laaik he aur mere husband ne ye kaam kar liya he.

Me un ke is nikah ko bardasht nahi kar sakti. Aap koi aisa solution bataye ke in dono ki talaq ho jaya?