Shaadi

Do saal ke lia showhar ke saat humbistari nahi karna

Q: My question is kay agar 1st wife ko husband ki 2nd marriage ka pata chall jaye ladri jhagray k bad 1st wife apnay he ghar main rah rahi hay aur husband saray haqooq pura kar rahay hain sub cheezon k bawajod 1st wife nay husband se koi physical relation nhi rakha hay almost 2years se halankay husband week k 6 day 1st wife k pas rahtay hain tu is surat main un ka nikkah ko koi problem ho ge kia?

Mahr owr waraasat ka masla

Q: Mera sawaal ye he ke meri ammi ki mehar me Dada Saheb ne ayk makan likha tha. Ab Dada sahab or dadi rahe nahi or na hi unhone apni jaydad ka batwara unke beto me kiya. Ab halat badal gye he or papa ke do chhote bhai he Jo property ka batwara chahate he lekin masala ye he ki kya meri ammi ki mehar ka makan to bi wo log chahte he ki tino me bata jaye jabki wo meri ammi ki mehar me likha ja chuka he to us par hak ammi ka hi hoga ya nahi? Kya aurat ki mehar par uska hak uske husband ki death ke bad hi hota he. Mere ammi or papa Allah unka saya ham hmesha par babaye rakhe. Please ap mere sawal ka jawab bata de bahut meharbani hogi.

Shia larki se shaadi karna

Q: I am Sunni. Me ayk larki se shaadi karna chahta hun. Wo log bohot ache hain. Phir wo log shia hain. Kya shia larki se shaadi karna jaez hay? Kya shia aur sunni ke darmyaan shadi hosakti hay? Kya shia ko sunni bana kar shadi kya ja sakta hay ya is ke elawa aur koi tareeqa hay? Tafseel me bataen?

Hurmat-e-Musaahara

Q: Ayk awrat ka kisi mard ke sath na jaiz taaluq tha. Us awrat ne apni khushi ki khatir us mard se apni beti ki shadi kar di. Shaadi hone ke bad bhi un ka na jaiz taulqaat qaim rahy. Matlb wo apni biwi se bhi humbistri karta or apni mother in law se bi krta rha. Jab ke biwi ayk room main hoti or wo dowsre room main apni mother in law se humbistri karne ke bad apni biwi ke pas ajata or batata ke mujh maza nahi aya, ab aap mujhe karne do or wo bechari majbor ho kar us se humbistri karti. Islam main is ki saza kia hai or kia biwi ka us ke sath rehna jaiz hai? Or ab us ki mother in law fout ho gai hai. Kya wo apni biwi se maafi maang kar us ke sath reh sakta hai?