Shaadi

Nikaah bagair gawaaho

Q: Mai ne aik larky se Quraan majeed pe hath rakh ke kaha ke Mai Allah, Rasool aur is Quraan ku gawah bana ke kahti hn ke mai tumhy apny nikah me qaboll karti hn kiya tmhy qabol hai? Aur larky ny 3 bar haan kaha ayr isii tarha mujhsy bhi pochaa aur mai ny quraan py hath rakh k 3 bar Haan kaha. Is nikah ke bary my hum donu ke ghar walo ko maloom nahiii Aur baad my hum donu ny Quraan py hath rakh ke kasam khai ke hum es nikah ko qabol karty hai Tu kiya yai nikah sahee hai? Meray us ke sath taluk raha magr pore tarha nahi. Mai sunni hon Mera sawal hai k kiya yai nikah sahee hai?

Razaa'at

Q: Qur'aan ke mutabiq maloom razaat jin se razaat sabit hoti hai 5 hain or ahadith main bhi maloom razaat ki tadad 5 hai. Ab ager aik bar doodh piny se razaat sabit hoti hai to phir Qur'aan or Ahadith main paanch maloom razaat ka kyon kaha gya hai? Phir to quraan main or ahadith main b yehi hona chahiye tha k aik razaat se hi razaat sabit hoti hai.plz mujhy ayaat or ahadith e nabwi k hawaly se mukamal rahnumai dijiye or ayaat or ahadith bhi btaiye.