Shaadi

Facebook par nikaah

Q: Mera sawal yeh hai ki 2011 me mai ek ladke se Facebook pe mili thi. Hum dono ek dosre ko chahte the ek din uske kuch friends ne post par hamara nikah karaya uske ek friend jinko mai bhai maanti hu woh mere wali bane nikah ki process hui gawah bhi the mere taraf se aur uske taraf se bhi. Bas maher kaana sikka kaha gaya. Baaki saari process hui aur hum dono serious the is nikah ko le kar. Mai janna chahti hu kya yeh nikah hua hai?

Ghair Muslim larka se shaadi karna

Q: Kia musalman larki Jewish ya Christian larkay say nikah ka naam de kar shadi kar sakti hai? Kia shadi main shareek honay walay mahmano ka shareek honay jaez tha? Kia man Baap aur behen bhaiyon ka shareek hona aur larki ko support karna jaez hai jabkay woh larki pehlay bhi Christian ko musalman kar kay shadi kar chuki ho, Larkin doosri dafa baghair musalman kiyay huay nikah ka naam de kar shadi ki ho?

Zuroorat ki wajah se showhar se jhoot bol kar paisay lena

Q: Mere husband uk me rehtay hyn apni pehli bv or bachon k sath. Me onki dosri bv hon or pakistan me rehti hon. Mere husband monthly 4 se 5 lacs rupees kamatay hyn. Lekn mujhay monthly 5000 kharcha bhejtay hyn. Me nay kai baar onko ehsaas dilanay ki koshish ki hy k is me mera guzara nahi hy. mere maang nay par mujhay wo kabhi kuch extra paisay bhi dedetay hyn lekn baar baar maangtay hoye mujhay boht sharam aati hy q k ehsaas dilanay par bhi onko khud ehsaas nahi hota. Me kabhi jhoot bahana kar k onse paisay leleti hon k mujhay boht zarorat hy phr wo paisay dedetay hyn. Kia mere is tarah jhoot bol kr paisay lenay par mujhay gunaah milayga?

Walima karna

Q: Mera phlay nikha hua tha us k 6 month bad ger ki nachakion ki waja say baray kharab halat ma ruksati hui. Meray susral wlon na or husband na walima ada nahi kia or ma shadi k 6 roz bad saudia a gai. Mari shadi ko 6 sal ho gay han or 3 bachay han. Meray dil ma kasak ha walima nahi kia kahin ya guna to nhai or ab is ka kia kufara ha?