Shaadi

Shaadi kis se honi ha, taqdeer me he?

Q: Hamaari shadi kis se honi hai hamari kismat mai phele se he allaha ne likh deya hai ki hamari shadi is ladki ke sath he honi hai kya hum dua or wazifa se apni kismat change nahi kar sakte hai? Mera one yeras phele rishta hoya tha sab kuch theek chal rha tha lakin ab mera rishta tut gaya ladki ka bhai razi nahi hai sab log mujh se bolte hai apki kismat mai who nahi hai dua or wasife se meri kismat chamge ho sukti hai kya? Mai bot ziyaada pareshaan ho. Please mujhe wasifa batao jis se mai phir se un logo ko razi kar lo. Please meri hepl karo.

Nikaah ke ba'd khalwat

Q: Mujhe ye puchna hai kai nikah hochuka hai par rukhsati nahi hui to khalwat ho sakti hai ya nahi? Kiss surat mai khalwat hojaegi. Matlab wo kaisi tanhai mai mile kai khalwat hojaegi or kitne time ke lye tanha ho? Or agar khatra ho kisi ke ane ka or darh ka mahol ho to khalwat hogi ya nahi? Mufti sahb barai karam muje puri detail ke saat batayega app ki nawazish hogi.

Mobile par nikaah

Q: Ma na kuch arsa phla ek nikah kea hea ek syed zadi sa. Ya nika chup kar kea hea ku ka who syed family sa hea to who family khandan sa bahir shadi nahi krta balka sari umr larki ghr rahti hea. Nikha ma na is trha kea hea ka who ek bewa khaton hea 6 bacha hea who khul ka shadi nahi kar sakti. Agr shadi krti hea to us ka bacho ka khrcha jo us ka chache date hea band kr da ga. Us ka chache na bhi kai dfa or us ki susral family ka kuch mardo na us ka sath ziddi ki koshis ki, ab who apna bhai ke ghr hea. Me na us ka sath mobile pa nikha kea hea. Who or ma ek jgha us ki friend ka ghr tha mbil pa dosri tarf mera ek dost qari or us ks sath 4 gwah tha, jo hum dono ko nahi janta tha. Khutba hoa larki sa us ki raza mandi puchi gi or nikha complte ho gea. Us ka bad hum dono milta rahi ab kuch din phla us na mujhea batya hea ka ap walid ban sakta hea. Phir hum nikha open nahi kar skta 2 3 sal tak. 

Mujhea pta ya krana hea ka kea humra ya nikha Shar'ee ho gea hea? Ku ka agr hum nika kisi masjid ma krta ya koi janna wal gawa hota to hum mar jata. Hum na Allah owr us ke Rasool ko gwah bana ka ya nikha kea taka zina jase gunha sa bach ska.

Larki ke baap ki ghair mowjoodgi me nikaah

Q: Meri shadi ko 8 mahine ho gaye hain. Kuch din sab theek tha lekin pichle 2-3 mahine se meri biwi apne maa baap ke ghar pe hai, is liye mai dusri shadi karne ja raha hon isme mere maa baap ki marzi hai. Lekin jo meri hone wali dusri biwi hai uske maa baap raazi nhi hai is baat se. To kya us larki ke baap ki ghair mowjoodgi me nikah jaaiz hoga? Mere maa baap sab khush, mere sath hai meri dusri shadi karne me. 

Zina ke ba'd usi larke se shaadi karna

Q: Mere ye sawaal hai meri ek dost hai, usse zinna ka gunaah hogaya hai ab wo us ladke ke sath nikah karna chahthi hai or wo ladka bhi raazi hai, magar ladki ke ghar par nai maanre or uska rishtha kahin aur fix kardiye or zabardasthi uska nikah karwana chahre. Ab wo ladki us ladke se bhagh kar nikah kar sakthi hai ya nai? Ya apne parents jisse nikah karware usse karle?

Mahr-e-misl

Q: Mera sawal aap sy haq mehar ke baary me hy. Meri shadi hony wali hy or hamary yaha kuch wajoohaat ki bina par Haq mehar boht ziada rakha jata hy, jo kici bhi soorat me hum apni new wife ku us ke huqooq ada karny sy pehly itni bari amount nai dy sakty. Ab meri shadi meri cousin se horahi he, or hum dono ne aapas me mutually understanding sy ye agree kia hy k nikkah naamy me jo chahy haq mehar likha ho, lekin ham ne aapas me jo amount agree kia he actual haq mehar woi hoga. Nikaah naamy wala just aik security ke tor par he, to kia husband and wife bina kisi dabao or force ke aapas me is tarah haq mehar rakh sakty hen, jo ke bawaqt e haq-e-zojiat sy pehly ada kar dia jae.

Showhar owr biwi ghalat kaam karna

Q: Mera sawal ye hai k aaj ke is nange dor me shadi shuda hazraat apus me boht ghalt karte hein maslan mian bivi aik doosre ki sharam gahun par zaban ka istemal karte hein aur mard hazrat apni bivi ko peeche wale raste se istemal karte he. Quran owr hadees ki roshni me is masle ka hall batain kia aisa karne se nikah toot jata hai?