Shaadi

Ayk din me teen bhaiyon ki shadi

Q: Mera sawal ye hai ke kya ek hi din me teen bhaiyon ki shadi ho sakti hai? Ladki alag alag ghar se hai. Mere walid ise haram mante hain.
Main sabse chota hu bhaiyon me aur main shadi karna chahta hu. Magar ghar wale do bhaiyon ki shadi to ek hi din krne ko taiyar hain but teen shadi haram mante hai. Quran o sunnat se jawb dein taki apne walid ko samjhau ya agr haram ho to main khud sabar karu.

Razaa'at ka maslah

Q: Muje apne bare mamu ki beti pasand he or us se shadi karna chahta hon. Phir meri naani kehti he ke us ne muje ayk bar apne chote bete (mere chote mamu) ke sat doodh pilaya he to kya meri shadi apne bare mamu ki beti se hosakti he?

Shaadi qismat me he ya nahi?

Q: Jaisa ke aap ne kaha hai ke shadi qismat me he to phir ye bhi to kehte hain ke larki mature hote hi us ki shadi kardeni chaiye warna parent ko gunah hoga, ab uske qismat me nhi to parent kya kare? please answer de. Agar ladki ki khwahish ho k larka khobsirat k sath khubsurat b ho to kya burai hai? Ye koi najaiz khwahsh to nahi hai? Kya hum Allah Ta'ala is tarha dua kar sakte he ke aye allah meri kisi neki ke badle me ye dua qubol karle?

Khalwat-e-saheeha

Q: Khawind or biwi me khalwat tab hi hoti hai jab rukhsati ho kar khawind ke gar jati hai or dono sohbat karte hai to aurat madkhula kehlati hai yani khalwat banjati he. Or us ke bad sare shari hukam rukhsati ke bad wale hote he. Magar agar rukhsati nahi huwi ho bas nikah hua ho or wo dono chup kar mile he ek jaga tanhai mai to khalwat banjaegi aurat madkhula kehlaegi? Wo tanhai kis tarah ki ho kitne time ki ho .or agar kisi ke ane ka khatra ho dhar ho kisi ka to khalwat banegi ya nahi? Muje zara detail mai btana.