Har qasam torne ka kaffarah

Q: Main bohut ziada pareshan hun.. Mene takreeban 2 saal pehle Gunah se tobah ki Zina se tobah aur Allah ki qasam khae thi k ainda aesa nae karunga... Magr mjhe shetan ne bohut behkaya ghalat rastey per lagaya aur mjhse wo qasam toot gae.. Ab masla yeh hai k mjhse wo qasam bohut baar tooti magar mene kaffara ada nae kiya... Ab mjhe bohut sharmindgi hai bohut ziada pareshan hun.. Dil se Allah se tobah ki hai aur ab main kaffara ada karna chahta hun.. Mjhe kaffare ka pata hai k kia kia karna hai lekin mera sawal ye k mjhse aik ki kasam tooti hai br br aur kaffara ada nae kia hwa tou kia main baar baar ada karun kaffara ya aik br ada karun q k mjhse kasam tooti aur main gunah kerta gaya aur kaffara ada nae kia.. kaffara dena ka baad main pata chala ab mjhe bohut ehsaas hai..please meri madad kijiye.. Allah apko iska ajer den.. Main bohut sharminda hun suche dil se.. Main kaffara ada krna chahta hun.. Mjhe nae maloom k kitni baar gunah hwa mjhse Ab kaffara Alag alag ada krna hai ya aik hi baar ada karun..

A: Jis qadar qasame tu ne khaayi aur phir tordi to usee qadar kaffarah dena parega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)