Hawa khaarij hone ki bimaari

Q: Mujhe baar baar hawa kharij hoti rehti he aur ye qabz ki wajah se hoti he. Main 2-3 saal se iska (qabz) ilaj bhi karwa raha hu lekin phir bhi ye poori tarah se theek nahi hota he. To kya mujhe har baar hawa khaarij hone par wudhu karna hoga? Kyonke namaaz me kai baar aisa hota he aur isse me control nahi kar paata yani rok nahi paata. Iske kharij hone me kabhi to badboo aati he aur kabhi aawaaz. Quran padhte waqt bhi aisa hota hai. 

A: Agar aap ma'zoor ho, to namaaz ke waqt ke shuroo me wudhu karle aur namaaz parhe. Reeh ke khaarij hone se wudhu nahi tootega. Ma'zoor ke ahkaam aur masaail jaane ke lie is link ku dekho:http://muftionline.co.za/node/14076

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)