urdu

Pareshaani owr musibatein

Q: Meri shaadi se pehle hi se her kaam mein nakamiyab raha. Aaj meri umr 60 saal ki hai, abhi tak pareshan hoon. Mera ek hi larka hai jo bachpan hi se bimar hai. 40 saal se mirgi mein mubtala hai. Meri larki shaadi nahi ho rahi hai aur na hi daulay hai. Tamaam umr duaein karta raha, wazife parta raha, lekin musibatein aur barh jaati hai.namaaz aur tilawat kerne se bahut zayada musibat ho jaati hai.Madad chahta hoon. Karam farmaein.

Gande khiyaalaat

Q: Mujhey har waqt gandey khayalath aur gandey sonch aa rahe hai. Ussey kaisey bachey kyun ke jab bhi woh gandey khayalth aur sonch aaarahe hai my merey nafs khabu nahi kar raha hoon, yaani namaz me har waqt aa rahe hai. Iskey liye Dua ya phir kuch aur tareekah issey bachney ke liye.

Nikaah beghair gawaaho

Q: Baalig jawan ladka or ladki aik dosre ko boht chate hn or aik din plan karke mble pe pore hosho hawas me mobile message pe ladka ladki allah ko hazir jante n gawah jante hue ladka apna name+parents name name 3 times leke pochta h ladk+parents name ka name leke qabool hai 3 message karke n ladki mene qabool kia 3 bar keti hai 3 msgs me n phr ladki ladke se apna name+parents name leke ladke ke walden ka name leke 3 times pochti h apko qabool hai ladka 3 msgs me 3 times bolta hai qabool hai and then phr wo mia bivi tassawur karlete hn apne apko usday se n jb milte hn to sath khate pete n touch karte hn but sex nai karte to kia nikkah hogaya un dono ka msg pe according to shariat ? in short dono jese nikkah hota hai weddings me wese karlete hn allah ko gawah banke to kia hojaega nikkah ?

Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khwaab main dekha ke mera felow gari ke nichy aa jata hy bht khun ata hy bulati hun main bhai ko ro ro k wo ankhain kholty zra c or dam tor dety or aik din main lash b dykhi khwab main.