urdu

Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khawab main deakha ke main apne husband ke sath phar pe char rahe hon or thodi mushkilat bhi atti hain muger main phar ke peak pe pohanch jati hun or apne husband se keh rahe hun ke bus phar yahan khatam hogaya hai or ab border start hogaya hai. Mujhe iski tabeer bata den.

Bimaari ki wajah se umrah ku chowrna

Q: Merey susar umrah ke liye gaye thy wahan uhon ny aik umrah to kar liya but jab wo doosri dafa umrah ki neeyat se ahram band kar gaye but (un ko urine ki problm hai ) aur un ki tabiyeet kharab ho gai umrah chor kar wapis chaley gaye to kuch log kah rahy hain ke is ka koi kufara ada karna parey ga. Kindly app bta dein karna pary ga ya nhi aur agar karna pary ga to kya aur kitna?

Nikaah me pareshaani

Q: Main bohat saloon say iss zahni kashmakash main hun kuch samaj nahi aata yeh hamari dosri shadi hai husband meray kuch cheezoon main tu theek hain namaz parhtay aur Jo main chahti thee magar un ke har waqt shak karna bachoon tak Kay mamlay main shak kartay hain Kay main un ka khayal nahi rakhti muj say overall rude rahtay hain maheenoo hoqooq e zojeyat ka pata nahi hota dosroon Kay saath bht achi tarhan rahtay hain.hamray room tak separate hain kisee larahi kee waja say nahi buss aisay hi akelay rah rah kar main pehlay kisee ko pasand kartI thee us kee yaad aati hai meri iss shadi ko 10 saal ho rahay hain us nay ab tak shaadi nahi kee Kay ab kisee say shadi nahi karoon ga us ka apnay aap ko iss tarhan pareshan Karna muj ko tension dayta hai.us kee yeh fikar nahi nikalti main kia karoon?jab Kay main us ko sochna nahi chahti main us say khabi nahi mili bus net per baat thee jab kaha rishta laaoo tu woh nahi aaya main nay apnay parents kee marzi say shaadi karli mera kia qusoor?

Haram ke Imaamo ke peeche namaaz parhna

Q: Me ne ye janna ha k jo sawal me kron wo mujhe Ahlesunnat ki roh se uska jwaab diya jayee Mera sawal ye ha k Me ummrah pr Alhamdiullilah Kafi mrtaba ja chuka ha To wha ja kr Khana kabba me bajammat nmaaz prhna kesa ha? Me to prhtaa hoon lekin 1 Sahb ne mujhe mnaa kiyaa k wha k imam Jitnay bhi ha wo Wahaaabi Maslk se taluq rkhty ha theek ha aur hum Ahle-sunnat k ha to humari nmaaz un k pechay Nai hoti me ne unko kha k dekhay k Pta nai Quran pak me aya ha ya Hadees pak me aya ha Allah ko pta ha K Wha ja kr Nmaaz prhna ptaa nai kitni nmaazoo k brabr ha wo baat me nee un sahbko ki to unho me jawab diya k Bajammat ka lfz nai aya bech me k bajammat nmaaz ada krnay ka Sawab ha bss nmaaz k baray me aya ha me ne phir 1 sawal un se kiya k Agr humari nmaaz un k pechay jaiz nai to Allah pak ne apny ghr aur Apnay Nabi Pak(S.A.W) k ghr Wha k Imamoon ko Q diya huwa ha dene ko Allah pak Pakistanio ko bhi dee skty thy Akhir Allah pak un se khush ha to itni bhri seat pr Arbio ko bethaya huwa ha na To is pr unho ne jwaab diyaa k Arbio se pehlee Angrezzo ki hakoomt thi wha pr to Tm kya souchty ho k Allah pak Angrezoo se bhi khush thy Is baat pr me Agay bol nai ska aur unhoo ne khaa k Tmhara Imaan Lrzz gya ha Tm Sunni nai rhay lekin mujhe pta ha K Alhamdulilah me sunni hoon Allah aur Un K Nabi Pak (S.A.W) pr imaan rkhta hoon aur un k agay jitny Olliya Allah ha un ko mantaa hoon 1:•Sawal ye ha k humay wha bajammat nmaaz prhni chahyee? 2:• Dosra sawal ye ha k Esa ksi ko kehna k tmhra imaan lrzz gyaa ha kya ye theek ha? Me Apky Jawab ka muntazir rhoo ga kindly Ahle Sunnat k lehaaz se jwab di jiyee ga Mehrbani.

Caste system

Q: Mujhe apna aik confusion dour karna hai ke islam mein caste ki kya importance hai? Mein boht confused hun kyun kuch log kehtay hen ke sab muslim hi hen zaat wgera se frq nae prta lekn ye bhe Quran Majeed mein hy ke "hm ne tumhen firqon mein tfreek kr dia taa k tmhari pehchan ho skay" mjy plz bta den k fiqay or zaat mein kya frq hy?

Razaa'at

Q:

1. Kia kisi larki ke lia dada ke bhai ya phir dadi ke bhai se parda krna lazmi he?

2. Razaat ka rishta kis kis se banta hy?

3. Kia razaaee maa ko sadqa fitir ya zakaat dena jaez hy agr wo buht gareeb hy.

4. Agar namaz me tabiat kharaab hojae to kia atahiyaat ke foran bad salam pher skty hen durud aur dua prahe beger?