urdu

Mushtabah owr haraam maal se parhez karna

Q: Fajr ki azaan ke bad khwaab daki me ne ke ayk tamater mry hath ma hn r tamater ki tandi ni ha uski jaga halka sa khawab (black) ha dakny ma fresh lag raha ta. Scene chang hota ha mery gr ka purana bathroom ata ha samny r us ma ik daram ta vo b purana ta (us ma hm pani bharty ty)uska ka cover ni ta r ma usky opper rakh kr black vali jaga sy katta r soucha k itna hissa utar dati hn baki handia ma dal lo gi..usko jb ma ny katta to byshumar kaly kirry nikly byshumar r kuch kuch un ma sy skyblue coluer k b ty un ka size choty chokroch jasa ta. Itna sary kiry dakh k ma gabra gi r asa laga mujy jasy kuch mo ma chaly gy but gy ni ty r ma vomit ki tarhn sink ma gala saff krny lag gi. Aj shuba ma ny ya khwab daki ha r ma boht pareshan hn. Plz ap mujy iski taber bata de.

Zindagi me ihtiyaat wale raaste par chalna

Q: Main or mera bhai Bahrain main job karty hen. Main ne abhi yani 3:50am pe ye khwab dekha ke main or mera bhai jo k mujh se 8 saal chota ha hum apny ek uncle ke sath (wo bhi bahrain main hen) gaari main kahen jaa rahy hen rasty main kuch sunsan jagha aati ha or waha pe ek larki khari hoti ha white dress main Mery uncle uski taraf Gari morna chahty hen laikan mera bhai ek lambi or zordar cheekh Marta ha or kehta ha k seedha chalo, uncle us larki ki taraf nahe jaty or road pe Gari Le aaty hen, thori der baad main dekhta hon k road left turn kar raha ha or uncle bohat speed main hen, Main uncle ki taraf dekhta hon to wo so rahy hoty hen, Main jb tak unhen awaz deta hon Gari bohat zor se samny dewar main lagti ha or hum sb ko kafi choten aati hen, Plz is ki tabeer bata den.

Ghar me ta'leem karna

Q: Me ne Khawb Deakha suba ke time ke mere gar me jaha mere Father sahab bethte hai waha se sida niche se upar tak crack aaya maakan me. Me chilaya bahar niklo,is k baad deakha makaan saara Girgaya,aur me ne maaa ko deakha bahar ,aur aesa laga saare gr k log thik hai,mrharbani krr k bataye is ki Tabir.

Neak awlaad ke lia wazifa

Q: Allah ke fazal se aur ap ki dua se main umeed se hun, mera pehla mahina hey. Hamain 2 betiyan hain. Es baar hamain bete ki bohot khuwahish hey. Mere age bhi ziyada hey. Mughy kuch esa perhney ya kerney ko batain ke hamain beta paida ho. Allah aap ku khush rakhe.