Nikaah me pareshaani
Q: Mujhe aapse advise chahiye ke mera apny husband se khula lena behter hai ya osky ravaye me tabdili ka intezaar karon. Mery husband ne mujhse dosri shaadi apni or meri razamandi k sath ki or shaadi k baad mery sath sirf 12 din rahy. Phir wo UK chaly gaye jahan unki second wife or bacchy rehty hain. Allah ne unhain buhat dowlat or ezzat de rakhi hai, lekin phir bhi wo mujhe naan nafqa nahi dety, mery rehny ka kahin intezaam nahi kia. Jabky shaadi se pehly unhon ne mujhse or mery parents se yahi kaha tha ke wo mujhe apne sath rakhain gy. Ab na apny pas bulaty hai na Pakistan me khud apni koi rehayeash mujhe di. main shaadi k baad se apny waldeen k ghar me pardi hon. shaadi se phely jab unhon ne sirf meri tasweer dekh ker haan ker di thi. osky baad wo meri her zarorat ka khayal rakhty thy. lekin shaadi k baad mujhse hamesha jaan churdane ki koshish kerty hain,jab maine unse naan nafqa or apne rehny ki jaga ki baat ki tab se wo ye kehty hain main unhain pasand nahi hon, meri or unki family status ka koi match nahi hai etc. or ab tu had ye k last 10 months se na koi call na msg. whatsapp per akser online hoty hain lekin meri kisi baat ka reply nahi kerty. mufti sahab meri shaadi 40 saal ki age me bardi mushkil se hoi, ghurbat ki waja se parents jahaiz nahi dy sakty thy.es liye khobsorat hone k bawajood rishty waly haan nahi kerty thy. mery husband married thy. unhain shaadi se pehly es baat per koi aitraaz nahi tha k main ghareeb family se hon, lekin ab unhain main or meri family bori lagti hai. ab tu family ka her shakhs kehta hai k mujhe khula le leni chahiye. Lekin main hamesha ye soch ker ruk jati hon k her insaan k dil me Allah rehta hai k shayed unhain mera khayal ajaye k wo aisa ker k mery sath na-insaafi ker rahy hain, or phir meri life me sab theek ho jaye. mery husband mujhse 12 saal bardy hai. es waqt unki age 52 saal hain. shaadi k baad unhon ne jitni baar mujhse mubasrat ki osme bhi mujhe unka koi interest nahi nazar aya k wo mujhse satisfy kerny me koi dilchaspi rakhty hon. Ab main Married hone k bawajood bhi unmarried life guzarne per majboor hon. Mufti sahab plz mujhe advise dijiye k main kaya karon. kia khula lena hi mery masly ka hal hai, jabky meri or mery parents ki ghurbat or low status ab bhi apni jaga hai.