Shaadi

Larki pehle nikaah ko inkaar kar ke chupke se doosra nikaah karna

Q: Me hanafi follower hu. Meri ek dost ki mangni uske dada ne krwayi. Woh us mangni se razi nahi thi. Lekin use is dhoke me rakha ke pir yeh rishta khtam kardenge. Woh us mangni me khud tayar hui. Lekin us mangni me us ke dada ne us ka nikah bhi prwaya. Jab maulana ne do admi beje larki se puchne ke liye to woh larki tayar beti thi aur khush lag rahi thi to unho ne larki se puche bgher maulana se kaha ke wo raxi he. Us larki ko mangni ke ek maah bad pta chala to us ne wo rishta khatm krne ki koshish ki lekin us ke ghar wale nahi mane. Us larki ko apne chacha ka beta pasand tha. Is liye us ne apne chacha ke bete se chupke nikah kar liya jis ka ilm kisi ko nahi tha. Aur us ke sath miya bewi wala rishta bhi rakha. Ab woh pareshan he kyunke us ke waliden us ki shadi us pehle larke se krwarahe he jis ke sath mangni aur nikah hua tha. Ab aap bathaye ke ye dusra nikah jaiz he ya pehla?

Rishta karne ke liye pehle ladke walo ko ladki wale ke ghar jana

Q: Kya ye jaruri hai ke rishta karne ke liye pehle ladke walo ko hi ladki wale k ghar jana parega? Ye hamare shariat me hai? Main normal nikaah karna chahta hu maszid me lekin ladki wale ka kehna he ke dhoom dhaam se karna. Albatta mai ne walima karunga ye bi kaha. Kuch pareshani ke wajh se main shadi normal karna chah raha hu. Please main kaise unhe hamare islamic shariat se samjhau?

Larki ku batane baghair us ka nikaah parhana

Q: Muje es msg ka jawab detail me de de. Meri dost ki mangni us ke dada ne krwayi jis me wo khud tayar hui ti lekin woh us rishte se razi nahi thi. Us ka khyal tha ke bad me sb ko razi kr ke yeh rishta khtm krdegi.us mangni me use bthaye bgher us ka nikah bhi prwaya. jo ke use bad me bthaya gya. Meri dosth ko us ke chacha ka beta pasand tha to us ne chupke se chacha ke baitey ke sath nikah kar liya jis me gawah mojood the. Aap muje yeh bathaye ke kya yeh doosra nikah jaiz he jo us ne apni mrzi se chupke kya tha?

Nikaah beghair gawaaho

Q: Mera swaal he ke agr aik larka owr lrki khuda ko hazir Jan k khuda ko gwah bna k ye kahen k mujy Tm bivi/shohr k rop ma kbol ho ya ma Allah ko gwah bana ke Tum apna shohr/bivi tsleem krta Hn jb k na to nikah ka khutba prha jae r na e koi insan gwah k tor py mojod ho to kya nikah ho jata h ya nahin?

Showhar ki tarad nafrat

Q: Meri jbrdasti gharwalone shadi krdi Lekin meri shohr ka chehrabhi dekhna acha nhi lgrha sb negative bate dil me at I uske drowerse kuch medicine bhimile nikah to hua he but relation nhi Mene bhot bar istikhara kiya tha is rishte k liye mere dilme uske liye negative feelings thi but shadi hogyi me ye nsib hota he ya kisi gunah ki saja 5times namaZ kuran bhi pdti hu firbhi mere sat a is a hua aisa dilme ata he ye meri 2sri shadi he log bura khenge isliye ghrwale kehte he wese hi reh mujhe lgta he mere nsib me shadime Jo khushi hot I wo nhi he mujhe use dekhato nfrt hot I he sirf is wajh se divorce mangna thik he kya mujhe kisi alimse mashwara Lena chahiye me khudase bhot mohobat krti hu but ye SB bate dil shikayte peda kr rhi he 1hli shadi bhi tuti aur dusribhi marji k khilaf hui