Shaadi

Mujhy aik larki pasand he

Q: Aap sy aik sawaal karna tha k mjhy aik larki pasand hai per wo mujh sy 5 saal bari hai aur wo bhi mujhy pasand karti hai to kia hamari shaadi ho sakti hai? Aj kal hum per bohot museebtn aa rhi hai us ka rishta aa gya hai mufti sahib aur wo inkar kar rhi hai per uski ami usko majboor kar rhi hai. Ap agar koi hal bata dy to apki bht bht meherbaani ho gi shukriya.

Larki ayk larka se nikaah karni chahti

Q: I want help from you so please help me. I am in love with one boy. Hum milte bhi nahi aur srif 2 year mai 1 bar mile aur kauch aisa galath kam bhi nahi kare phir who ladkha khata hai ki osko time hai. Phir hum osi sai hi nikha karna chahti aur hum 40 days har namaz ke bad 300 bar ya wadoodo wazifa bhi phare aur ek alim nai kaha ki pharne say 40 din ke undar undar os kai dil mai pyar ajaega aur hum chate hai ki hamara nikha srif osi sai ho islamic tareke se aur agar wo shaks maan bi ge toh kya hum arrange marrange ki tarah karsakte mere or unke parents ko arrange marrage dhikna kya kya zarore hai toh hum hum baat karsakte mera toh pora erada unhe sai karna hai kya yhai dua karna jayaz hai ka yhai wazifa jayaz hai? Hamara silsila chat say shoro hova aur hum nahi milte srif urgent hi to bat karte.

Meri shaadi honi waali he, me kya dua parhu?

Q: Meri shadi hony wali hai ek saal baad inshallah. Jinsy meri shadi horahe hai woh bohat achy insan hain or mujhe pasand bhi karte hain par un main ek burai hai woh yeh k unhain dosri larkion sy baat karny ka bhi shoq hai jiski wajah sy main bohat pareshan hoon main chahti hoon k woh mery saath sincere rahen jaise main un k sath hoon. Mujhy aapsy yeh pochna tha k agar main yeh dua karti hoon k "Allah un k dil sy dosri larkion main dilchispi nakl kar srrf mere liye sachi mohabbat peda kardy" tou kia mera yeh dua karna jaiz hai? Jaisa k humari abtak shadi nahi hoe tou kia un ki mohabbat k liye dua karna jaiz hoga?

Saas se zina karna

Q: Agar koi banda apni mother in law (saas) se zina ka murtakib hota he, to us ki nikah ki Shar'ee hasiat kia rehti hy? Nikah toot jata he ke nahi? Agar toot jata he to dowbara kis tarah nikah ho ga? Us bury ghaleez kaam ki saza kia banti he? Agar nikah toot jay to dowbara kis tarah ho sakta he?