Tahaarat

Ghusal karna dam ke paani se

Q: Mujh ko poochna hai ke jadu ke tor ke liye bataya hai ke chaar qul or ayatul kursi in sub ko ayk bar parh ke pani pe dam karo or dam wala pani
thora piyo baki bache pani se naha lo jadu khatam ho jaiga. Muj ko puch na hai ke dam ke pani nahate howe to gatar mai jaiga tu kiya hum ko gunha nahi mile ga kiya or naha sakte he ya nahi?

Janaabat owr paani ke kuch masaail

Q:

  1. Ye janna chahta hu ke agar ihtilaam ho jaaye raat me sote waqt, aur agar subah fajr ki namaaz qaza hone ke kuch der pehle uthe aur itna waqt na ho ke ghusl kar sake ke agar ghusal kiya toh namaaz qaza hojayegi, aysi soorat me kya sirf wuzu karke najasat saaf karke namaaz parh sakte hai?
  2. Aur agar fajr ki namaaz me kaafi waqt hai lekin agar gusl ke liye paani na ho to kya hukm hai? Yani paani sirf itna ho ke wuzu hi kar sakte hai aur najasasat paak kar sakte hai lekin gusl karne ke liye utna paani na ho to kya hukm hai?
  3. Aur mujhe aksar subah gusl karne se sardi hojaya krti hai mere liye kya hukm hai? Sirf wuzu se kaam chalega?
  4. Aur agar jaaane anjaane me main ne napaaki me (matlab gusl waajib tha) lekin sirf wuzu kar liya to kya hukm hai?

Baraaye meherbaani rehnumayi farmaye.

Naapaaki

Q:

  1. Ayk shakhs jis par ghusl farz ho gaya, agar wo ghusl na kare, napak hi rahey, matlab la parwahi karay, tu us ki kiya saza hai deen mai?
  2. Agar najasat carpet ya blanket par gir gayee aur saheeh jaga pakka maloom he ke kiss jagah par giri hai, tu kiya pura carpet napak ho ga aur is carpet ko paak karnay ka tariqa kiya hoga?
  3. Kisi cheez ko paak kaisay kiya jaye?

Washing machine me kapre dhowna

Q: Agar koi washing machine me kapre dhow raha he to agar us ne koi napaak kapra washing machine me daal diya lekin kapre wash karney waley ko ye nahi pata ke kapra napaak he lekin dowsre aadmi ko pata hay ke yeh kapra naap he agar woh kapra washing machine me wash ho gaya tu kiya saray kapre napaak ho jayengay lekin agar kapre wash karne waley ko yeh nahi pata ke kapra napaak he tu kiya hoga?