Shaadi

Razaa'at ki wajah se nikaah ki hurmat

Q: Ek shakhs ne do shaadiya ki. Doosri biwi ki do aulad he, ek beta aur ek beti. Ab pehli biwi ne doosri biwi ki beti ke beti ko apna doodh pilaya do mah ki umar me. To ab uss hi bache ki shadi doosri biwi ki beti yani apni phoupo ki beti say ho gai or us main say is ke do bache bhi ho gayi. Ab ja ke maloomat huwi ke pehli biwi ne dossri biwi ki beti ke beti ko doodh pilaya tha. To kiya ab un do ka nikah jaiz he? 

Online nikaah karna

Q: Mujhe nikaah karwana he magar surat yeh ke larki wale Sindh se Punjab nahi aa sakte aur na hi larke wale abhi Sindh ja sakte he. Agar nikaah ki online koi surat banti he to bata ye. Dono khandaan khush he.

Biwi nikaah ke oopar doosri nikaah karna

Q: Shadi shuda aurat kisi dusri mard pe aashiq ho gayi aur us se najaiz ta'alluq bhi qaim kar liya. Wo apne husband ko pass tak nahi aane deti. Nikah to nahi toota lakin wo is nikaah ko tasleem bhi nahi karti is ka kiya koi hal bataien.

Nikaah ke oopr nikaah kiya ja sakta he kiya? Woh 5 month se apne husband ke pass bhi nahi gayi. Ab kiya us ki is doori ki wajah se nikaah barqarar he ya nahi?