Shaadi

Shohar doosri mulk me mar jaye to kiya nikaah khatam hoti he?

Q: Me sunni hu. Ek larki ki nikah ek larka se huwa ghar wala ke raza mandi se aur 4 sal me 2 bache bhi huwe. Phir is aurat ka shohar kaam ke silsile se bahar jata he aur death ho jata he. Phir uska nikah uske chote bhai yani aurat ke dewar se hota he ghar walo me raza mandi se hi shadi hone ke baad woh larka aisa sochta he ke pehle wala shohar ke nikah me he kiyun ke woh death ho gaya he phir kabhi aisa ho woh zinda bhi ho sakta ho aisa lag raha he to phir us aurat ke pehle wala ke sath jo nikah huwa he woh khatam kaise hoga kiyun ke shohar death ho chuka he. Phir ghar pe nahi huwa ho sakta ho zinda bhi ho to usse nikah torne ke koi tarika he kya kyun ke hum log ko pata he mard talak de to nikah tutta aur pehla mard he ya death ho gaya pata nahi koi aisa solution he jo nikah toot jaye?

Hurmat-e-musaaharah

Q: Agar mother aur son ke beech hurmat-e-musaahara establish ho jaye to kiya aurat ka nikah son ke step father se he to kiya woh toot jayega? Clarification: Aurat ka shohar, son ka biological father nahi he.

Biwi ko maloom nahi tha ke shohar pehle shaadi karchuke

Q: Meri shaadi ko derh saal hogaya he aur ek beti bhi he. Mujhe ab pata chala he ke 4 saal pehle mere shohar ne ek shaadi ki parents ke zor dene par. Phr 6 mahene bad talaaq hogayi jis se biwi ka darja bhi dia gaya jab ke wo mere sath relation me 5 saal se he. Agar mujhe pata hota to me shaadi na karti is darr se aur bataya mujhe dhoke se shaadi kar li jab ke agar mujhse relation me na hote to wo shadi bhi nibha dete to kiya meri shaadi jaiz he?

Mahr kis ki zimme daari he?

Q: Meri shaadi ko eight years hogaye he aur 3 bache he. Mera mehr mere susar jo mere chacha bhi he unho ne mera mehr lakh rupees mehr tay kiya tha baqada 30 logo ke darmiyan. Hamara taluq Azad Kashmir se he lekin hamari puri life Karachi me hi guzri ha to hum waha ja kar settle nahi hona chahti thi. Ye sab baate hum ne engagement wale din sab ke saamne ki thi or chacha ka business Karachi me hi settled he to unho ne yehi kaha tha ke koi zabardasti nahi hogi gaoun jane ke liye.

Phir two years theek guzar gaye shaadi ka time aaya phir mere furniture or baqi saman ki baat huwi to chacha yaha rakhne ko razi na huwe yani mere liye koyi room rent aur nahi liya (wo already rent pe choti se portion me rehte the) aur ye zid laga ki ke saaman Kashmir jayega to hi shaadi hogi warna rishta khatam. Apne bete se bhi kaha ke tum inko mana kariye me 20 din me apni sali se tumhare shadi karwadunga (ye note kijiyega ke mere chacha ne dusri shadi ki huwe he biwi ke marny ke baad) baat bohot bihar gayi sab relatives ne unhe jirga me bhi bulaya ta ke rishta khatam karne ki waja samjha lekin wo nahi aye or unki baat na maane par mere shoher ko ghar se galiyan de kar nikaldiya unke pass kuch nahi tha phir Allah ki madad se itna huwa ke this bohot saaman ke sath meri shadi hogayi lekin mehr ada na huwa. Mere husband bohot ache he mashAllah.

Ab mehr ka masla he ke wo mere susar ne tay kiya tha, kiya ye gunah chacha ko hoga ya mere husband ko?

Zina ke khowf se nikaah fardh ho jaana

Q: Me intehai ziyada Islam pe parband to nhi hu lekn koshish karta hu jitna ho sake Islami taleemat par amal kar sako. Mujhe baligh huwe taqreeban 8 saal ho gaye he aur kuch arse se zina karne ke bare me zehen me khiyaalat aa rahe he. Us se bachne ke liye mene apni walida-e-muhtarma ko shadi karne ka kaha. Meri walida to maan gai lekin walid saheb nahi maan rahe. Ab mujhe smajh nahi aa raha kiya karu? Kabhi kabhi control se bahar ho jata hu.