Shaadi

Maher me apni ammi ki security ka mutalabah karna

Q: Meri shadi hone wali he. Mera koyi bhai nahi he. Meri shadi ke baad meri ammi ka koyi sahara nahi hoga ke jaha wo apni baqi zindagi guzar sake.

Kiya me apne haq meher me apni ammi ki security ka mutalaba kar sakti hu ke meri rukhsati ke baad meri ammi jab tak chahe jitna arsa chahe poore haq se mere shohar wale ghar me mere sath reh sakti he unki apni marzi aur halaat ke mutabiq?

Behnoi se nikaah

Q: Meri dost ke behnoi ne apni biwi ko talaq di aur phir meri dost se nikah kar liya. Ek month bad ghar walo ko pata laga to unho ne usse dost ko talaq dilwa di aur wapis uski behan se nikah karwa diya. Puchna ye he ke doosri behan ka nikah aur talaq ho gayo thi? Aur phir wapis pehli behan se nikah ho gaya? Ab wo log sath rehty he.

Choti beti se hurmat-e-musaaharah

Q: Mene ek dafa bayan me sunna tha ke agar beti baaligh hojaye aur baap ko pyaaar karte hoye ghalti se bhi agar shehwat aajaye to us k liye us ki biwi hamesha ke liye haraam hojaati he.

Me poochna chahta agar beti baaligh na ho aur khuda na kare baap ko shehwat aajaye beti ko pyaar karte hoye to tab bhi yahi hukam he kiya ?