urdu

Khwaab ki ta'beer

Q: Ji maine ayk baar khwaab me dekha ke mai haj pe ja raha hu aur dusri bar fir yahi dekha k mai haj pe ja raha hu aur jahaj me hu sare haji log k sath me aiheram bhi pahena hu aur labbaik ki sada gunj rahi h mai bhi padh raha hu sath me aur meri ankhe Khul jati h aur kuch deno k bad fir dekhta hu k mai madina shareef me hu aur huzoor k raoje pe hu aur sabje gumbad ki taraf dekh k apna Daman faila k ro ro k dua kar Raha hu k aye Nabi aye aka Apne to humko yaha BULA Liya apne raoze Mubarak ki ziyarat Kara diya h ab mere maa baap Ko bhi BULA lo aye aka aur ankho se ansu jare the itne me meri nind Khul gayi fir bhi ankho se ansu nikal rahe the hazrat aap iske tabir kya h bta dijye bahut Meharbani hogi Jazak Allah hu khair.

Khwaab ki ta'beer

Q: Fajar ke waqt me khwaab dekha marhoom walid ko unke 40 din poore hone par, marhoom walid sb. Shirt pahan rahe the uspar chipkali dekh kar hamne unse hatane ko kaha aisa 2- 3 baar hua har baar wo kood kar dusre taraf chali jati thi phir aakhir me wo chhipkali mere uppar uchal kar agaib phir hum use apne uppar dekh rahe the wo nahi dikhi ghabra ke meri aankh khul gai.

Quraan ko zehn me parhna

Q: Maire kano me Qura'an e Pak ki aayte (jo mujhe yad hai) aur tilavate (jo mai sunta rahta hu) goonjte rahti hai har waqt (zyada tar waqt) kai bar mai gungunane lgta hu chalte firte bhi lekin dar lgta hai kahi ye be adbi to nhi! Halaki mai janboojh kar aisa nhi karta ap bataiye mai kya karu?

Khwaab ki ta'beer

Q: Kal raat ku main nai apna student ko kisi ka qatal kartay daikha hai aur kuch raat phla main nai apni chooti baati ko rasta main gum hoty daika hai. Meharbaani farmayain is ka kya matlab hai?

Shaa'ir Islam ki tazeem aur ihtiraam karna

Q: Mere khwaab mein meine dekha ki mein aur ammi kayi raaste mein ja rahe hote hai aur mere haath mein ek kitab hoti hai achanak se mein use phek deti hun ja kar kichad mein girti hai meri nazar niche padti hai to mein dekhti hun ki wo koi mamuli kitab nahi hai Qur'an-e-paak hai tauba karti aur ankh ko laga kar Qur'an aur Allah Paak se maafi mangti hai aur sine se lagati hun. Mufti saab plz is khwab ki tabeer batadijyea.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine ye 2 khaab koi 3 hafte pehlai dekha tha. Pehla khaab ye tha kai ek khuli zameen hai bht bari jo hari bhari hai. Aur main aur kuch mere sathi jin ki shnakht mujhai sahi se yaad nahi hum asmaan main ek daba sa tha us pai sawar thai samne ek safed rang ka asmaan main koi jagah thi jab hum thore kareeb huwe tou vo mandir tha. Aur vo aise lag raha tha jaise maine kahin dekha hou jo mujhai bahir se bht acha laga. Thore aur agai gaye tou us mandir main 2 3 larkiyun nai mujhai eshara krke bulaya ke aou lkn main eshare main kawab diya kai nahi hum musalman hai nahi a sakhte .. aur jab thore aur kareeb huwe tou maine chalang laga ke hath lagaya aur phir neechai utar gaye hum .. neechai utre tou dour kahin ek ghar sa tha jis main rosini thi vahan bhaag ke pohunche tou kuch loug army kai uniform main thai aur kisi nai bola tumhare ghar main koi mar gaya hai .. hame vapis jana tha lkn har taraf andhera jab maine unko madad ke liye bula kai hame chor de vahan tak unhou nai kaha bache nahi hou jaou khud .. aur phir main uth gayi.

Dosra khaab ye tha kai main meri 2 behen ammi abbu hum mall gaye vahan jate hi pehlai namaz parhi aur dosri taraf ke darwaze sai jab nikle tou achanak mere taya abbu aur ek bhabi meri mujhai udher milai aur baraf hou rahi thi bahir aisa laga kai hum pakistan a gaye. Jab hum sab car main baithe tou upar car main ek frame laga tha jis main 2 snakes ka design tha jab maine upar dekha tou ek snake nai mujhai dekha aur apni zuban nikali aur hil raha tha dosri baar dekha tou dosra snake hil raha tha aur mujhai dekh raha tha maine vo snak nikal kar sabko bola bhaag bhaag ke kai ye asli hai ye asli hai par sab nai bola ye nakli hain kahan hil rahe hain tum pagal hou gaye hou maine bht batane ki koshish ki par kisi nai mera yakeen nahi kiya. Please mere khaab ki tabeer ager hou tou bata den shukriya.

Khwaab ki ta'beer

Q: Muje khawab ki tabber pochne ha. Me ne do khwaab dekhe:

(۱) میں ایک رات سویا تھا مجھے خواب میں اللہ پاک کا دیدار ہوا اللہ پاک آسمان سے نیچے اتر رہے ھیں اور فرما رہے ہیں سب اگٹھے ھو جاؤ حساب کے لیے

(۲) یہ کچھ دن پہلے کی بات ہے میں صبح نماز فجر پڑھ کے درود پڑھ کے سو گیا دیکھتا ھوں آسمان پر قرآنی آیات لکھی ہیں اور آخر میں نماز قائم کرو لکھا ہے اس کے بعد خشک زمین پہ برف پڑھنا شروع ھو جاتی ھے میں برف کو ھاتھ لگا کے دیکھتا ھوں پھر آواز آتی ھے کہ دیکھو میں ہر چیز پہ قادر ھوں تو تم دوبارہ زندہ کیوں نہیں کروں گا