Khwaab me mithaai khaana
Q: Khajur ki mithaai khana khwaab mein?
Q: Khajur ki mithaai khana khwaab mein?
Q: Khwaab mein haamila auwrat ko papita khane ka matlab?
Q: Muje mere khwabon ki tabeer puchni hain. Mere sasural mein chacha ki maut hogayi due to cancer. Unki deedar mein main shamil nahi hosaki kyunki mera 2 month ka baby hain and main unki ziyarat k faitah k baad ghar wapas aayi. Within a week i'm getting horrible dreams.
1. khawab mein chacha ku dekha k wo kabar mein beite hain - timings around 3-4 clk night 2
. khawab mein meri rooh hain aur thode kale log mujey keench rahe hain aur mein roh(crying) rahi hun kehrahihun k muje chodhdo mera chota sa bacha hain mujey unki parwarish karni hain aur bahut kuch lekin wo log kehrahe hain k ab tumhari dua qubool nahi hongi ab waqt khatam hochuka hamarey saat chalo aur wo mujey zor se dhaka dete hain ek unchi khidki se aur mein ek boat mein jakar padhti hun jo k paani mein khadi hui hain.. wahan par 2 kaley(Black) people boat chala kar lekar jarahey hain aur mi allah se maafi mangti hun aur mujey aisa feel hota hain k meri dua qubool nahi horahihain.meri ammi abba sabki gunahoon ki mafi mangrahi hun. timings at 12'0 clk night.
3. khwab mein dekhti hun k mere leg mein kuch hogaya hain jisme se ek small plant uga hua hain (with 2 green leaves) and im thinking that arey this happened because i am already dead. (timings yaad nahi)
4. khwab mein dekti hun k chacha sofa par beith kar muskurarahe hain muje dekh kar (12 clk night)
5. mere sohar (Husband) k khwab mein jo hospital mein chacha admit hue the usi bed mein mujey dekhte hain. (12 clk night) 6. Aaj subey around 6 clock mere husband ne dekha k khwab mein wo mera haath pakad kar ro rahey hain aur main marchuki hoon. aur sab mere janaze ki namaz padhrahe hain aur main kehti hun k mi yahin hoon aur koi aakar uney kahin lekarjata hain phir kuch teek nazar nahi araha. Mufti saheb please mere ye saarey khwaboon ki tabeer batayeye. Hum bahot pareshan hain. Namaz aur quran bhi padhtey hain. Hamarey liye dua kijiye.
Q: Mein ne sab se pehle khwab mein jooto ki dukan dekhi ha lekin koi pasand nahi ayi aur baad mein apni wafat hui phupo ko dekha ha ji boht jawan ha. Please mujhey is ki tabeer bataein.
Q: Mai apny daddy ke lia umrah karna chahta hu. Kya mujy umrah ki niyat un ke liyey masjid e ayesha se karni ho gi? Please mujhe guide karain ke kaysy niyat or kahan se karna ho ge?
Q: Witr ki namaaz adaa karne ke liye kya din ki paanch namaazo ka adaa karna zaroori he ya agar din ki paanch namaazo me se koi namaaz choot gayi ho to hum witr ki namaaz padh sakte he?
Q: Agar koi larki apne hath se khaas uzwe ko touch karke lazat hasil kare to kia is pe ghusal waajib hoga ya sirf wudhu toot jaega?
Q: Hadith ka mafhoom mein aaya hai ke sunnate muakada parne se Allah jannath mein ek mehel banadete hein. Please tell me isi tara aur duniya mein kya aamal karne se jannath cheezien banti hai?
Q: Mein paanch saalo se bht hi pareshani se guzar rhi hu jo ke jismani aur roohani dono hai. Ek to mujhe har waqt ghabrahat bechaini hoti hai kisi kaam me bhi dil nahi lagta ghar se baahar jati hu to ghabraht bechaini hoti hai, dimag me ajeeb ajeeb khiyaal aate hai. Hamesha bimar rehti hu aur doctors ki report me kuch nhi aaya hai wo khte hai k mujhe dimagi tension hai namaz pdhne ka bhi dil nhi krta plz aap mujhe koi dua ya wazifa btaiye jisse ki meri ye pareshani door hojaye aur plz mujhe btaiye k mujhe kya pareshani hai kya koi bandish hai kya plz mere email ka jawab zrur dijiyega bht pareshan hu mein.phle mera dil namaz aur quran pdhne me bht lgta tha pr ab bilkul dil nhi krta bht ghabraht hoti hai. Allah aap ko apne amaan me rakhe.
Q: Kia aesy dramay or drama ke scene ya show dekh saktay hn jin ma be-hayai na ho jab ke drama dekhany se toba ki ho? Toba to gunah pe hoti he agar in ma be-hayai na ho to gunaah to nahi he jesy kisi ma thori hidayat ho ya jo mashray ma hota he wo ho etc?