urdu

Qasam towrne ka kaffara

Q: Mane aapse pochna thaa ke qasm ager hamne qasm khaae ho kch krne na krne ki lakn hm usse tordetehain toh uska kya kafara ada krna hoga. Mane tafseer ma abhi prha k qam tre gae ho toh uska kafara yss kaam ko chorkr ada krna ha. Ab yahan Kafara kya ada krna ha?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhy Khwaab ki tabeer jaan'ni hai aur ye 6 bje ke bad aya hai khwaab. Khwaab ye ke subha ka time hota hai bht tez barish ho rahi hoti hai aur mene apn ghar kuch change dekha hai k bahar sehen bana huwa hai. chat mn .. aur shaam ko barish ruk jaati hai .. mn sehen mn wiper maarne jaati hun aur sb andar roomz mn bethe hotay hain .. phr mn assmaan ki taraf dekhti hun tw bht khoibsurat lgta hai mjhy .. bilkul red pink lehren c aa rhi hoti hain badlon ki .. aur red colour ka sooraj nikal rha hota hai aadha un mn se .. mn kehti hun wow kitna pyaara lg rha hai aasman .. tw mn beth kr dekhti rehti hun aik dam white badlon k saath aasman pt Mohammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka naam likhta hai koi .. aur saath mn suaad bh likha hota hai .. mn dekh kr heran ho jaati hun aur bht khush hoti hun .. aur sb ko andar se bulati hun k wo dekho aasman mn kya likha hai aur jab sb aatay hain tw wo ahista ahista dhundla ho jata hai .. aur phr saray andar chalay jatay hain .. phr mn kehti hun k abhi tw yahin tha.. kese mit gaya .. phr us k bd mn dekhti rehti hun aasman ko k abhi phr likhega kuch .. thori dair bd La Ila Ha Illallah.. likhta hai white badlon se.. mn phr bht khush hoti hun aur sb ko bulati hun lekin un k aanay tk wo badal ban jata hai simple .. phr mn yaqeen dilanay ki koshish kr rhi hoti hun k mene apni Ankhom se dekha hai .. k likha tha .. aur phe eri aankh khul jaati hai ..Ap plz iski tabeer bta den.

Qur'an sunte waqt saans phoolna

Q: Aap se sawaal ye he ke jab koi surah khas kar baqarah ki tilawat yah audio sunni jay to hert beat fast honay lag jatty hye or sanz pholnay lagti haye jessy k bhaag k aye ho or sanz pholnay laggy but aesa har bar ni hutta kaby kaby sawal ye hay k easa kis wajah sa or ku hutta hay iss ki kia wajuhat ho sakty hay. Me aik dam kia huway pani bhi le rahi ho. Hakeem saab ss bas ye explain kar dee.

Khwaab ki ta'beer

Q: I saw a dream last night. Actually I am planning to write a novel and I have to write in an old copy. Kal mere khuaab mein aya ke ek chipkali woh copy apne mun mein le kr ja rahe hai. Mein ne us ke mun se woh copy nikali tou woh chali gae. I have a question eska kya matlab hosakta hai?