Talaaq

Divorce papers bhejna

Q: Mere brother in law nay apni wife ko divorce papers send kiye jis me likha tha k me apni wife ko divorce deta he. 

  1. Jis waqt divorce di thee os waqt onki wife pregnant theen. ab delivery hogai hy lekn abhi tak wife apnay husband k pass nahi gai hyn.. tu kia divorce hogai?? ya wo wapis apnay husband k pass ja sakti hyn??
  2. Kia ye ek divorce hoi ya 3 hogai hyn?

Maslah daryaaft karne me talaaq ka alfaaz kehna

Q:

  1. Talaaq ke masle ke bare me agar hum kisi aalim ko masla byan karte he ya likh kar bhejte he to is me hum jo alfaz or jumle likhte he unse koi masla to nahi?
  2. Single lafz jab hum kisi se talak ke masail par baat cheet karte he to lete he is ke bare me kya hukm he?
  3. Agar talak ke masail ki book pharte he hum or aksar log unchi awaz me pharte he unme bi jumle hote he to iska kya hukm he?
  4. Agar kisi ko talak ka weham ho fobia ho or wo tanhai me khud ko samjata he mutmain karta he tasalli deta he khud ko to kya hukum he?

Teen talaaq

Q: Meray husband ne apne pehle wife ko shade ke 8th months me talaaq de zabani. Phir aik sal ke bad stamp paper par 3 talaaq likh kar bhijwa de sath sara saman jo woh lai the or haq mehar bhe lekin iddat khatam honey se pehley wapis bula lia phir dono sath rehne lagay is k bad zabani kai bar husband ne talaaq de or deney k bad nahe mante or kehtey hain k alag alag mujlis main likh kar de janey qwali talaaq count hote hai. Mera sawal ye hai k kia in logon mai talaaq ho gai hai q k mai dosre wife hon or mery husband ne os ourat ko akhri talaaq deney k bad shadi ke zaban se kai bar ghussey main man chukey hain os ourat ka mujh se koi taaluq nahe par phir bhe mujhe or os ourat ko aik jagha rakha hai or osko biwi ka pora haq dai rahe hain. Please mujhe maire swal ka jawab jald dejye.

Darane ke lia talaaq dena

Q: I had a fight with my wife over some issue. I told her main tumhay talaq day doon ga phir kaha ek ho gahi do ba'd main doon ga. Next time I again fought with her. I told her if you do not listen to me main talaq day data hoon. But all the time I did not intend to give her divoice just to scare her.

Talaaq ki alfaaz

Q: Aap se ye puchna hai ke talaq kisi bhi lafz se hojati hai maslan koi bhi lafz agar talaq ki niyyat se kahe to hojaegi? Ya is ke lia khas alfaz hai? Ya koi bhi kam talaq ki niyyat se kare magar moo se kuch na bole to hogi? Or agar talaq ka lafz pura na le adha lafz le. Jaise (talaaq) to hogi ya nahi?

Email ke zarye se talaaq

Q: Husband email per apni wife ko talaq sent karta hai phir bivi nahi parti aur paray baghair delete ker daiti hai kya iss tra baghair pary talaq ho jaye gi ya nahi aur husband bi inkaar ker dai ke us ne sent nahi ki. To kya islaam ki logic hai iss halat main?

Haidh me talaaq dena

Q: Mere masla ay hey 7 saal pehele. Maine 1 talaak diya tha uske baad 4 saal baad maine dil me juuti niyaath karke sirf daraney k liye biwi ko 2 talaak di uske baad thisri baar biwi k haidh ki haalath mey talaak diya tha. Talaak hothi hey ki nahi iske baareme bathyen?