Shaadi

Divorced larki se shaadi karna

Q: Men ak divorce larki ka sahara banna chahta hon larki b achi or shahreef ha... meri mama ki abi kuch days pehly e death hui ha wo kissi galt fehmi ki wajaa se ni chahti thi k us larki ki mjh se shadi ho wo ni chahti thi k men un se bt b karon ab wo is duniya men ni han mera sawal ye ha k agr men us larki se shahdi karta hon ya bt b karta hon to kia meri mama ki rooh ko is takleef ho gi jb k men dil se us larki ko sahara daina chahta hon nikah kr k.

Video call pe nikaah karna

Q: Mera masla yeh he ki meri bwhan ne mere ghar walo ki bina mrzi se nikaah kiya he. Or meri behan India me thi or ladka Pakistan me tha ladke ke pas qazi wakil or gawa sab ladke ke pass hi the yah ladki akeli thi ladki ka wali bhi whi ladke ke pass bna tha or video call pe nikha hua tha kya ye nikaah mukammal he kya ham ab uski dusri shadi kr sakte he?

Hurmat-e-musaahara

Q: Aksar hum dono mian biwi bethay hotay hain aur aik dusray ko choonay ki wajah se shehwat bhe hoti hai. isi doraan meri beti jis ki age 8 saal hai, aa ker mujhe touch krti hai lakin mai usay door ker deta hon. kia aisi sorat mai jab shehwat wife k lye ho na k kisi or k lye to kia tab bhe hurmat sabit ho jai ge chahay beti ki age 9 se bhe ziada ho tab bhe. Mukhtasar ye ke agar shahwat biwi k lye ho or beti ko touch ker le to kia tab bhe hurmat sabit ho jati hai.

Nikaah ke ba'd shohar ko ma'loom hona ke biwi ne nikaah se pehle zina kiya

Q: Ek aurt ny nikah say phaly zina kya lakin us kay shohar nay zina ne kya. nikah kay bad shohar ko iss baat ka ilm hova aur wo aurt ab iss baat pr apny shohar kay agay iqrar be kr chuke hai aur toba be kr chuke hai. lakin us shohar ka kya kasoor hai. Islam ab kya hukam data hai kay us aurt kay saat nikah kaaim rakna chaheyeah ya ne?