Shaadi

Khadaani lowg se rishta karna

Q: Mostly log apni daughter or son ke liye khandani rishta chahte hai inme se kuch log aise hai jo zid or riwaaj or ghamand ki wajah se aisa karte hai magar kuch log aise hai jo ye samajhte hai ki khandani logo mai sharm lihaaz akhlaq ache hote hai isliye ye log chahte hai ki khandani rishta mil jae to kya ye bhi galat hai ?? hai to kyu nahi hai to phir rawaiyya kya hona chahye is bare mai..

Razaa'ee behen se shaadi karna

Q: Main apni cousin k hawaly se kch puchna chahti hoon...wo apny taya k bety se shadi krna chti hay r wo larka b yhi chahta hay r usky father bhi razi hain lkn uski ami uski shadi apny bhanjy se krwana chti hain r ab jab rishty ki bat chali tw unhn na ye kaha k taya k bety se nikah nhi ho skta qk m na bchpan m usy ik bar dudh pila diya tha...kindly iska hal btaen? ye bat unhn na ab btai h phly ksi ko kch pta nhi tha...kya un dono ka rishta hoskta h ab?

Biwi ke lia alag ghar ka intizaam karna

Q: Hum 3 bhai hain meri shadi ho chuki hai 4 saal ho gaye hain meri ek beti hai or meri bivi pragnet hai. Bara bhae cycetric problem mai kabie kam p jata hai kabie chor k ajata hai . Meri salary 37000 hai (jis mai sy 12 hazar ghar pr daita hn 7500 ghar walo ki kameti bharta hn 4 hazar apni cometi bharta hn baki 15 hazar mai apni bivi bacho or kudh k kharchy k lye rakhta hn). choty ki 18hazar hai father mairy na chahty hoye bhi kam p jaty hain 15hazar salary hai.. meri biwi ki maa sy nahi ban paa rahi choti behan sy nahi ban paa rahi . Khany peny ki shikayat karti hai ghar walo k misbehave ki shikayat karti hai ab wo alag ghar ka mutalba kar rahi hai agaer ghar alag nahi to phir mujy chor do azad kar do(meri gunjaesh nahi alag ghar bhi chalaun bivi kehti hai jab tak ghar per kam kar do jub cometi khtm ho jaye phr sy bharha daina march mai cometi finish hai) or 5month baad meri choti behan ki shadi bhi hai. Mai bht paryshan hn ghar alag ki baat karta hn to ghar waly is p razi nahi hain meri shadi ghar walo ki marzi k baghair hoye hai shariat kya kehta hai is bary mai.