Shaadi

Khawind ka paisa

Q: Mujeh mere shohar ghr k kharch k liye kuch paisey detey hain. Un mei se kafee mei ne jama kr liye lekin un paison k baarey mei shohar ko khabar nahi hai. Ab kabhi mere walid sahab ko paison ki zaroorat hoti hai to wo paisey mei apney walid ko ye keh k udhaar dedeti hoon k mere shohar ne aap ko diye hain. Aur jab shohar ko zaroorat hoti hai to apney shohar ko ye keh k de deti hoon k merey walid ne diye hain. Kya is tarah karna mere liye jaiz hai? Ab mei un paison ke baarey mei apney shohar ko bhi nahi bata sakti. Please rehnumayee farma dijiye.

Nikaah se pehle najaaiz taalluq rakhna

Q: Mein aapse apni mangetar ke dekhe huye khawab ke mutaaliq poochna chahta hoon. Unhoan ne khawab mein yeh dekha ha ke humara rishta aakhri marhale tak nai pohunch paa raha unke sab ghar wale humare ghar baethe hain aur kuch baatein horahi hain aur aakhir mein yeh baat taeh hoti ha ke yeh shaadi nai hosakti! Ap se arz he ke is khawab ki tabeer batayein.

Do saal ke lia showhar ke saat humbistari nahi karna

Q: My question is kay agar 1st wife ko husband ki 2nd marriage ka pata chall jaye ladri jhagray k bad 1st wife apnay he ghar main rah rahi hay aur husband saray haqooq pura kar rahay hain sub cheezon k bawajod 1st wife nay husband se koi physical relation nhi rakha hay almost 2years se halankay husband week k 6 day 1st wife k pas rahtay hain tu is surat main un ka nikkah ko koi problem ho ge kia?