Shaadi

Razaa'at ka maslah

Q: Muje apne bare mamu ki beti pasand he or us se shadi karna chahta hon. Phir meri naani kehti he ke us ne muje ayk bar apne chote bete (mere chote mamu) ke sat doodh pilaya he to kya meri shadi apne bare mamu ki beti se hosakti he?

Shaadi qismat me he ya nahi?

Q: Jaisa ke aap ne kaha hai ke shadi qismat me he to phir ye bhi to kehte hain ke larki mature hote hi us ki shadi kardeni chaiye warna parent ko gunah hoga, ab uske qismat me nhi to parent kya kare? please answer de. Agar ladki ki khwahish ho k larka khobsirat k sath khubsurat b ho to kya burai hai? Ye koi najaiz khwahsh to nahi hai? Kya hum Allah Ta'ala is tarha dua kar sakte he ke aye allah meri kisi neki ke badle me ye dua qubol karle?

Khalwat-e-saheeha

Q: Khawind or biwi me khalwat tab hi hoti hai jab rukhsati ho kar khawind ke gar jati hai or dono sohbat karte hai to aurat madkhula kehlati hai yani khalwat banjati he. Or us ke bad sare shari hukam rukhsati ke bad wale hote he. Magar agar rukhsati nahi huwi ho bas nikah hua ho or wo dono chup kar mile he ek jaga tanhai mai to khalwat banjaegi aurat madkhula kehlaegi? Wo tanhai kis tarah ki ho kitne time ki ho .or agar kisi ke ane ka khatra ho dhar ho kisi ka to khalwat banegi ya nahi? Muje zara detail mai btana.

Shaadi kis se honi ha, taqdeer me he?

Q: Hamaari shadi kis se honi hai hamari kismat mai phele se he allaha ne likh deya hai ki hamari shadi is ladki ke sath he honi hai kya hum dua or wazifa se apni kismat change nahi kar sakte hai? Mera one yeras phele rishta hoya tha sab kuch theek chal rha tha lakin ab mera rishta tut gaya ladki ka bhai razi nahi hai sab log mujh se bolte hai apki kismat mai who nahi hai dua or wasife se meri kismat chamge ho sukti hai kya? Mai bot ziyaada pareshaan ho. Please mujhe wasifa batao jis se mai phir se un logo ko razi kar lo. Please meri hepl karo.

Nikaah ke ba'd khalwat

Q: Mujhe ye puchna hai kai nikah hochuka hai par rukhsati nahi hui to khalwat ho sakti hai ya nahi? Kiss surat mai khalwat hojaegi. Matlab wo kaisi tanhai mai mile kai khalwat hojaegi or kitne time ke lye tanha ho? Or agar khatra ho kisi ke ane ka or darh ka mahol ho to khalwat hogi ya nahi? Mufti sahb barai karam muje puri detail ke saat batayega app ki nawazish hogi.