Bathroom ya kitchen me jimaa karna
Q: Bedroom ke alva kitchen bathroom ya kaahi aur Jima kar sakta he?
Q: Bedroom ke alva kitchen bathroom ya kaahi aur Jima kar sakta he?
Q: Meri aik dost ne apni zindagi bohat mess up ker li he... please guide kare.
Huwa kuch yu ke aaj se 12 saal pehle uss ne ghar walo se chup ke kisi say shadi kar li lekin dono ki nahi bani to larke ne kaha ke jab tumhe koi aur mil jaye ga me tumhu divorce kar dunga. Iss doraan un me husband wife wala relation raha. Kuch saalo baad larki ne ghar walo ko raza mandi de di kisi aur rishte ke liye aur pehle wale shohar ko kaha ke mujhe talaq de do. Uss ne likh ke de di.
Taqreban 1 month baad larki ne bina iddat poori kiye doosra nikah kar liya ghar walo ki marzi se. Ab 9 saal baad uss ki 2 betiya he. Ab uss ko khayal aaya he ke kiya uss ka pehla nikah jaiz tha ho ke wali ki bina huwa tha? Agar nahi toh kiya doosra valid he? Agar pehla valid tha toh talak ke baad iddat ke bina doosra nikah valid huwa? Doosre husband se usski pehli beti shadi k 1.5 saal baad huwi. Please guide kare ke kiya karna chahiye ya kiya ho sakta he?
Q: Mujhse bohot bari galti gunah ho gaya. Meri jis larke se rishte ki baat chal rahi thi usne mujhse ye kaha ke Allah ki qasam kha ke kaho, isse pehle kisi aur se koi rishta koi wasta nahi raha. Agar me usse sach kehti to ye shak kabhi nahi jata me pichli galtiyo ke liye pakki sacchi tauba kar chuki. Mujhe bohot dar lag raha tha tab bh mujhe qasam khani pari usse yaqeen dilane ke liye.
1. Ab me kiya karoo bohot dar lag raha he mujhe azab se meherbani kar ke bataye?
2. Kiya apne hone wale shohar ko pichli aisi kisi baat ke liye bol dena chahiye ya kya kare agar aisi naubat aa jaye to?
Q: Mene apni biwi ke gold sale kar diya he. Us ko mene hi diya tha abu wo meke chali gayi he. Mujhe majboori thi. Me ne bola ke aap ko banwado ga jab paise miljaaega.
Q: Agar kisi bache ne apni sawteli daadi ka doodh piya choonke uski maa se doodh nahi mila, kiya us bache ka bhai apni sawteli daadi ki nawasi se nikaah kar sakta he?
Q: Mene ek beta adopt kiya he aur ab me us ka naam darj karwana chatha hu to me kis tareeqa se naam darj karwau? Kiya apne naam say darj karwa sakta hu?
Q: Agar ek aurat farzi namaz roza aur nafl ibadat me to koi kotaahi nahi karti magar shohar ke huqooq nahi poori karti uski khushi ka zara khayal nahi karti to kiya woh theek kar rahi ha? Allah usko maaf kar de ga aur jannat de de ga?
Q: Meri shadi hone wali he. Mera koyi bhai nahi he. Meri shadi ke baad meri ammi ka koyi sahara nahi hoga ke jaha wo apni baqi zindagi guzar sake.
Kiya me apne haq meher me apni ammi ki security ka mutalaba kar sakti hu ke meri rukhsati ke baad meri ammi jab tak chahe jitna arsa chahe poore haq se mere shohar wale ghar me mere sath reh sakti he unki apni marzi aur halaat ke mutabiq?
Q: Meri dost ke behnoi ne apni biwi ko talaq di aur phir meri dost se nikah kar liya. Ek month bad ghar walo ko pata laga to unho ne usse dost ko talaq dilwa di aur wapis uski behan se nikah karwa diya. Puchna ye he ke doosri behan ka nikah aur talaq ho gayo thi? Aur phir wapis pehli behan se nikah ho gaya? Ab wo log sath rehty he.
Q: Kiya me us larki se nikah kar sakta hu jis ke saath zina kiya ho? Kiya me us ke saath halaal rishta kar sakta hu?
Kiya meri taubah qubool hogi?