Mia biwi honey mooon par jaana
Q: Kiya mia biwi honey moon yani ghoome phirne ke liye ekatte ghar se bahir ja sakte he?
Aur kiya mia biwi ekatte shopping ke liye baazar ja sakte he Islam ki roshni me?
Q: Kiya mia biwi honey moon yani ghoome phirne ke liye ekatte ghar se bahir ja sakte he?
Aur kiya mia biwi ekatte shopping ke liye baazar ja sakte he Islam ki roshni me?
Q: Mery 5 bache he aur mere husband ne ab aa ke doosra nikah kar liya he. Wo bhi meri ijazat ke bina.
Aur jis se nikah kiya he wo bhi pehle se married he phir mere husband ke sath nikah karne ki waja se uske pehle husband ne us se talaq de dee he. Wo mujhe nahi pata ke legal dee he ke zubani dee he.
Us ke ghar walo ko bhi nahi pata, naa hi Maa baap ko naa hi bhaio ko.
Mery husband national bank my job karte he aur wo aurat sunhari bank my kaam karti thi. Mere bache ab khud shadi ke laaik he aur mere husband ne ye kaam kar liya he.
Me un ke is nikah ko bardasht nahi kar sakti. Aap koi aisa solution bataye ke in dono ki talaq ho jaya?
Q: Me jaanna chahta hoon ke wedding engagement kis had tak jaaiz he aur agar jaaiz he to kitne logo ka engagement ke mouqa par ladki ka haath mangne ke liye ladki walo ke ghar aasakte he dunyawi rusoomat ko nazar me rakh kar?
Q: Me shadi shuda hu. Kiya me apni biwi ki sharamgah ki photo kheench sakta hu?
Q: Agar koi shakhs kisi larki ko touch kare shehwat ke saath lekin uske kapre par touch ho, uske jism par direct nahi ho or jism ki heat feel nahi huwi ho to aisi surat ma kiya hukam hoga? Touch karne wale ko yaqeen he ke jism ki heat feel nahi huwi thi kapre ki wajah say?
Q:
1. Islaami taleemat ke tahat biwi mahine me kitni martaba apne waalidain se milne maike ja sakti he?
2. Neiz, shohar ki ijaazat ke beghair kitni muddat ke baad apne waalidain se mil sakti he?
Q: Kiya shohar par biwi ka ilaj karwana bhi waajib he, jab ke biwi khud apne aap ka khiyal na rakhti ho?
Q: Kya shaadi ki ayk pehli raat aagr apni biwi se humbistri na kare to waleemah haraam ho jata he?
Q: Khalwat-e-saheeha kiya he? Haiz ki haalat me khalwat-e-saheehah ho sakta he ke nahi? Shari rukaawat me haiz aa sakta he ke nahi, matlab agar biwi haiz ki haalat me ho to humbastri nahi kar sakte, bosa wagaira kiya, galay bhi lagai.
Q: Me apni betio aur bete ko bohat piyar karta hu. Un ke gaal haat peshani choomta hu. Ab jab ke mere beti aik 15 saal ki aur doosri 9 saal ki aur beta 4 saal ka he, poochna ye he ke bari beti jo ke baligh hogaye he kiya us ke gaal, haat aur peshani choomi ja sakti he?