Udhaar ko zakaat samajh kar maaf dena
Q: Main ne kisi dost ka qarz ada karnay k liay us ko paisay diay udhaar k tor par. ab vo mujhay ada nahi kar sakta. kia main us ko zakat samajh kar maaf kar sakta hoon?
Q: Main ne kisi dost ka qarz ada karnay k liay us ko paisay diay udhaar k tor par. ab vo mujhay ada nahi kar sakta. kia main us ko zakat samajh kar maaf kar sakta hoon?
Q:
1. Aik tola sona ka sath kuch pasay hon jis pa saal pa zakat banti h lakin is k sath jahez ki chizen par or writing pads or artificial jewellery par zaroorat se zayed kapro jooton waghera pa jin ko kuch saal bhi guzar gaye hon jo fil hal to use na kar rahay hon magar future ma zaroorat parnay par istimal k liye rakhen hon to kia in pa zakat or qurbani farz hogi?
2. Or agar sawa tolay sonay k sath pasay na hon magar ye sab jo upar btaya h usi tarahn ho to kia in sab pa bhi qurbani or zakat wajib ho gi?
Q: Agar sawa tola gold ke sath 40000 hon, is pa zakat banti he lakin agar ye 40000 ma ami ko da do k ye ap la len or istimsl kar len muje jab zaroorat ho gi to ma ap se la lun gi to kia ye pasay is tara denay k bad bhi zakat or qurbani wajib jo gi k sirf gold reh jaye ga magar pasay muje wapis da diye jayen gay?
Q: Hum log ek ambulanse kharidna chahte he trust k name se. Is me hum mariz k pas se diesel or driver or nominal maintanance ka kharch lege jo regular ambulanse ke kiraye se 40% jitna kam hoga. Khidmat k maqsad se lena chahte he. To ambulanse kharidne k liye kon sa paisa chahiye, Zakat, lillah, interest, Sadka or koi non Muslim donor se imdad le sakte he ya nahi?
Q: Kya doosre religion ke ghareebo ki madad kar sakte hai?
Q: Mera apna grill ki dokan hai jidki aamdani etni hai jisay mera parewar alhamdolillah khuse khuse se guzar basar ho ja rha hai Meray dokan mai jo puzi hai woh somthing one lakh ki hai jo tuls hai meray pas blance money kuch bhi nahi agar khuch faeda hai bhi tou woh udhari lga huaa hai tou meray liyea jkat ka kya hukam hai
Q: Kya apne sone ki zaqat aurat ko khud kama kr ada karni hoti hai ya uske sone ki zaqat uske shauhar ko hi dena wajib hai?
Q:
1. Meray pas aik tola sona ka set h ha or sath ma raqm 40000 lakin agar wo set ami ko da dun k wo bad ma shadi k zavar k sath utna or bna da gi jitna set dun gi to kia phir muj pa us set ki zakat ho gi kiu k meray pas pasay hn or bad ma muja us ki jaga or set shadi k set k sath bna k bhi dena h?
2. Agar ma zakat ki niyet se pasy kisi mustahiq ko pohchanay k liye kisi ko dun k ye pasay ap usay yani mustahiq ko da den lakin ma dono ko na btaon k ye zakat h to kia ada ho jaye gi?
3. Kia is tarha malik bnanay ki shart poori ho jaye gi ?
Q:
1. Sadqe kis ko dia jata hai?
2. Sadqa dene kelye 50 ya 100 Rs. shart hai ya jitne paise hn wo banda sadqe ke niyat se desakta hai?
3. Faqeer ko sadqa dete waqt use bolke dene parta hai ke ye sadqa hai?
Q: Meray pas sawa tola sona h or sath ma kuch raqm bhi h taqreeban 35000 jis par pooray saal ma zakat or qurbani bhi wajib joti h sir i dont earn but muja pocket money milti h jo saal ki 18000 banti h jo ma jama karti hun lakin muj pa saal ma qurbani or zakat banati h wo meri poket money se jo 18000 h taqriban 13000 ban jati h is tarh meray pas bohat kam pasay bachtay hn sirf 5000 btaye ma kia karun k zakat or qurbani farz na rahay muj pa insaan to is liye bhi jama karta h pasay k future ma kaam aa saken or kisi k aagay hath bhi na philana paray aesi bat nahi h k ma Allah ki rah ma dena nahi chahti lakin is tarha bohat kam bachta h or ghar walay ko bhi hota h k mera saray pasay isi tarah nikal jatay hn lakin muja aesa sochna acha bhi nahi lagta ma kia karun plz sahi se rahnumai farmaye