Zakaat ke masaail

Zakaat aur qarz

Q:

1. Jis par zakat wajib ho or us pa qarz bhi ho to kia us par zakat wajib nahi? Kia wo pahlay qarz ada karay ga or phir pasay ho to zakat ada karay ga?

2. Jis ka pas raqam ho or wo qarz k tor pa di ho kisi ko to kia wo raqam bhi nisab ma sahmil hogi us ki bhi zakat deni ho gi?

Zakaat ka hisaab

Q:

1. Meray pas 1 tola sona or 15000 ko to 2 saal ho chuka jis pa zakat wajib h lakin in 2 saalo ma se aik pichaly saal se is mahinay tak muja eid or pocket money milti rahi h jo ma jama karti rahi hun jo taqriben ab 35000 ho gaye hn or isi saal ma aik gold ki ring bhi li h jo 10000 ki h in ko to abhi aik saal nahi hua lakin aik saal se jama kar rahi hun kia in par bhi zakat h agar h to kesy hisab lagaya jaye muja samj nahi arahi?

2. Or jab inko saal ho ga or in ka saal mukam honay tak jo or pasay jama ho ga to in ka kesay hisab lagay jaya ga zakat ka liye?

3. Or muja islami mahina to yad nahi to kia angraizi mah k hisab se zakat da dun kia ada ho jaye gi.

Eidi aur pocket money par zakaat?

Q: Manay parha h k zakat wajib honi aik aik shart nisaab ka maal e naami hona h jo maal ka barhna h mera maal to istarah barha h k muja eidi or poket mony milti h or jo koi mahaman da k jaye us se pasay jama hotay hn to kia is tarhan barhany waly maal pa zakat wajib ho ga ma khud to kaamti nahi hun na hi tijarat karti hun?

Zakaat ka hisaab karna

Q:

1. Meray pas aik tola sona h or 15000 rupay jo zaroorat k ilawa hn jin ko aik saal ho gaya h kia muj pa zakat wajib h or kitni deni ho gi?

2. Passay is k ilawa bhi hn lakin wo ahista ahista jama huay hn muja yad nahi k un ko saal hua j ya nahi to in ki bhi zakat ada karni ho gi?

3. Or kia aesay banday ko zakat da sakten hn jo kamata ho ?

Aulaad ke paise se zakaat?

Q: Agar baligh aulaad ko uss ky parents aur rishtadaar result par inam ky toor par rupees dain aur phir wo pessy aulaad se lay lay aur aulaad ye khy k ye mera ap k pass udhaar rha. aur ye pessy aulaad ky agar parents ky pass wo pessy udhaar mn saal se ziyada arsa rhy aur hai b itnay thy k chandi ky aitibaar se dekha jai to ye 52.5 tola chandi ki qimat se ziyada ky hi thy to kia uss pr zakat farz ho ghi? Khud to wo parents ky kharchay pa plta hai.

Bank me rakhe huwe paise par zakaat

Q: Hamare waalid sahab ka inteqal ho Chuka he, hamare ammi ko Abbu ka pension milta he, aur hamare ammi ke bank account me 5 lakh rupees he aur kuch gold he, jispe saal guzar Chuka he, ye paise aur gold ko ammi ne meri aur meri bahan ki shadi aur mere bhai ki padai ke liye rakhe he,me job karta hoon, hamare ammi ke pass pension aur upar paiso and gold ke alawa koi aur source of income nai he, kya is Surat me hamare ammi par zakat farz he kyunke ammi ne 5 lakh aur gold hamare shadi ke liye rakhe he.