Doosri shaadi karna
Q: Pehli bivi k 4 javan bachay hon koi qasoor or kmi na ho mrd ki dosri shadi mohbt k nam py kia jayaz hy?jb k dosri ko boht gharor ho khobsorti ka or dil may ye b ho k pehli ko jaty he niklwa day gi.4 bachon k bap sy shadi pr larki k ghar walon ki b badnami ho.kia esi shadi ki himayat jayaz hy? q k esy logon ko Alah Pak ka khof dilao to wo ye keh k foran mu tor dety hn k gunah na wo kr rha hy na mein mazhab ny ijazat d hy.......orat ko kia tahaffuz dia islam ny? sari zindagi aik mard k dr pr beth k wafadari krny apni jawani apny rishty qurban krny or khidmat guzari ka yahi sila hy orat k liay? k mazhab ny ijazat d hy is liy tm tmharay jazbat sb bemani hn q k ab tmhari jagah koi jawan nai naveli lay gi.kia.shariyyat may ye gunah hy ya kisi ka b ghar brbaad kr k esi shadiyon ko support krna jayaz hy mazhaban?