Shaadi

Wo larki jo maa nahi bansakti, us se shaadi karna

Q: Mai aik larki se shaadi karna chahta hn. Hamary ghar waly taqreeban raza mand hain is rishtay par. Masla ye hai k mjy larki sy pta chala hai k wo maa nhi ban sakti. Mery yaha par do sawal hain:

1. Kya ye baat sahi hai k mai ghar walo sy ye baat chupaun aur unhy naa bataun jb k mjy ye baat qabool hai.

2. Kya kisi larki sy rishta is wja sy khatm kr daina k wo maa nhi ban sakti, drust hai. Kya kahi is wja sy mai gunahgar to nhi ho jata. Mera ye masla hall farma dijiya. Allah apko jaza dy.

Razaa'at

Q:

1. Kia kisi larki ke lia dada ke bhai ya phir dadi ke bhai se parda krna lazmi he?

2. Razaat ka rishta kis kis se banta hy?

3. Kia razaaee maa ko sadqa fitir ya zakaat dena jaez hy agr wo buht gareeb hy.

4. Agar namaz me tabiat kharaab hojae to kia atahiyaat ke foran bad salam pher skty hen durud aur dua prahe beger?

Waalid nikaah parhaana

Q: Aapse ek baat jaan na chahti hu. Please aap meri maddat kar den. Me bohot preshan hu.  Das saal pehle mere walid sahab ne mjhe emotionally blackmail kar ke mujhe nikaah naame pe sign kara lie tha. Ma mujhse kisi ne pucha ke qabool he ya nahi bas sign karae the. Aur me bchchi thi mjhe shadi ka matlab bi nahi maloom tha kya hoti he na hi mehar ke baare me pata tha mujhe. Kya ye nikah valid he? Please reply zuroor kriega jitna jaldi ho sake.