Urdu Questions

Kisi musalmaan ko kaafir kehna

Q: Main ap sa poochna tha kay kaya kisi Muslim ko kafir kehny sa banda khud kafir ho jata hai? Kal hum tv daikh rahy thy to mary husband na ak politician ko kaha kafir ka bacha jab k jis k lia unhon na yeh word use kia uski death hi chuki ha wo khud ak dam upset ho gye ar Allah sa mafi b mangi ar mjhy keh rhy thy k main na usko kafir samjh k nahi kaha ghussay ar nafrat ma kaha ma usko Muslim w samjhta hoon to plz btain kay kya hukam ha is bary main kya banda wakai islam sa nikal jata hai ar kya tajdeed e nikkah ar imaan bhi karna hota hai

Qasam torna

Q:

1. Agr koi unmarried boy kisi ladki se pyar krta ho aur kasam khaye k uske alawa kisi se shadi ni krega pr bad me wo kisi aur se shadi krle to kya uski shadi sahi hogi?

2. Koi shakhs Allah Quran ki kasam kha kr ye bole k agr mene ye kam kiya to meri hone wali biwi mujh pr haram ho jayegi (jisse us ladke ki shadi honi h uska name lekr bole) aur wo shakhs us kam ko krleta h to kya ab uski hone wali biwi us pr haram hogai? Wo usse shadi kaise kre ab dono mamlato pr alag alag roshni daliyega