Urdu Questions

Khwaab me bhai ki qabar dekhna

Q: Main ne khwaab mai apny ghar k apny roommain apny zinda bhai ki qabar bnaty hoay or qabar bani hoi daikhe hai. Qabar bnany se phly mera bhai kehta hai ke mujy thori dair bad qabar se nikal laina. Phir mai ne uski qabar othtay hoay bhi daikha. Please is khwaab ki tabeer bata dain.

Razaa'at

Q: Kia razaa'at (dood shareek) ka rishta qaim hony ke lia qam sy qam 5 bar doodh peelana lazmi ha? Agar bus ak bar dod peelaya hu tu kia raza'at qaim hu jati ha?

Talaaq ke baar me sawaal

Q: My daughter was playing us ky fingers per mud lag Gaya wo apnay father Yani mery husband ky pass gayi uss ko kuch thora sa ghussa karo wo Ronay lagti ha Rotay Rotay Maray pass ayi ma uss ka hands wash kar wany kitchen mein ly gayi Mary husband uss ka Ronay per khanay lagay k (sab ko azad ker churay ju merzi karein jawab nerzi phirein sari hi nazak ban gayi hain muhkum bana ha tu kam karein) that's my ques sari detail iss liya likhi ha k pori bat samaj jaiya ab pouchna ya ha k iss sa meaty relation ko tu kuch nahi howa ya mujy akaili ko nahi kaha Bachun ko b sath mein mila ker kaha tu iss sa mery relation per koi faraq tu nahi ha jab k normal hi baat ho rahi thi jazakAllah.

Talaaq ku mullaq karna biwi kisi ku phone karne par

Q: Mufti sahab hua ye tha k 19 august ko mari sister or behnoi na hajj per jana tha. 18 august ko maray parents unhen alwidah kernay un k gar gay lakin kisi waja sa meri wife ko sath ni la ker ja sakay. Ma UAE ma job kerta hun or mari wife gar walo k sath pakistan ma rehti han. 18 aug ki rat ko ma fone per apni biwi sa bat ker raha tha jab mari biwi na ye bat muj sa discuss ki k gar walay muje apnay sath ni la ker gay halan k manay unhen bataya bhi hua tha k muje sath la k jana jab jana ho to ma bhi baji sa mil lu gi. manay apni biwi sa kaha k han tumen sath la k jana chahye tha lakin chalo koi bat ni tum baji k janay sa pehlay fon per bat ker lana. wo narazgi ma bol ri thi k ma fon ni karun gi. muje bura lag raha tha k wo mari bat q ni man rahi is lia ab ma tang a ker us ko keh raha tha k acha thik ha tum cal mat kerna. ab wo kehnay lagi k ma karun gi. manay ego ma a ker us sa keh dia k agar tum na kal baji ko call ki to mari taraf sa tumen talaq ho gi. Us na kaha ke ap jo marzi kahen ma kal fon karun gi or ap ko saza dun gi ap na talaq ka q bola ha. manay dobara kaha k agar tum na call ki to mari taraf sa talaq ho gi, talaq ho gi, talaq ho gi. (Main Allah ko hazir o nazir jan ker or us ko gawah bana ker halfia ye kehta hun k manay ye pabandi sirf usi aik call k lia lagai jo 19 aug ko mari sister ko ki jani thi). Mari biwi na mujhe kafi daraya tha k ma call ker du gi ta k ap ko saza milay lakin us na us din call ni ki. Manay aik din ki pabandi lagai thi is lia ab un dono ki fon per bhi bat hoti ha ana jana bhi hota ha. Kia ma normal life guzar sakta hun kisi dar khauf k bager? Meri do choti batian han ma tara tara ke waswason dar or khauf me hun.

Nazar ke lia wazifa

Q: Main pehle bohot ache homemade potato chips banati thi or har koi ta'reef karta tha ke bilkul bazar ki tarah bnaya but pta nhi kisi ne mujhe nazar laga di or jab se aaj take me jab bhi kabhi chips banati hun ya apna method kisi or ko batati hun to chips jal jaten hain or pehle ki tarah nahi bante or jisko bhi me ye method batati hun uske bhi chips ache nahi bante. What should I do? Should I read some dua?

Rishta khatam hone ke ba'd larke ki taraf se angute

Q: Meri shadi ho gayi hai aur Meri shadi se pehle mera ek rishta aya tha. ladka Dubai me rehta tha.aur kafi rich log the wo mujhe dekhne aur bat pakki karne ke liye ladke ke walid aye the. Aa kar 2-3 din rahe hamare ghar. Is beech hamare abba Ne unhe mujhe dekhne ko kaha aur ye pas and and par anghuti pehnane ki bhi bat ki. Is par wo mehman yani ladke k walid pehle bazar gaye aur sone yani gold ki ek anghuti me aye. Unhone mujhe dekha.mera nam wam pucha.kiya padhti hu wagers pucha. Phir mujhe anghuti pehna Di.aur phir agle din wapas chale gaye.lekin wo jo gaye waha jakar unhone hamse kisi tarha Ka koi rabta nahi kia.aaj do Sal ho gaye hai Meri bhi dusri jagah shadi ho chuki hai. Lekin wo anghuti abhi take mere pas rakhi hai.unhone mango bhi nahi. To kia ye anghuti mujhe apne pas rakhna think hai ya nahi.plz bataiye? Meri Phupi kehti hai ki inke ane par khilane pilane mehmandari mai hamare hazaro rule kharch hue islye tum anghuti wapas mat karna. Aap baraikaram apni rai batai.